tanhai
kuchh dinoñ se ik chiḌiyā
chup udaas gum-sum sī
shaam hote aatī hai
ghar meñ ek photo par
aa ke baiTh jaatī hai
us samay ghaḌī merī
Thiik chhe bajātī hai
kuchh hī der meñ chiḌiyā
shaam ke dhundalke meñ
Duub Duub jaatī hai
aur ghar kā darvāza
raat khaTkhaTātī hai
kuchh dinon se ek chiDiya
chup udas gum-sum si
sham hote aati hai
ghar mein ek photo par
aa ke baiTh jati hai
us samay ghaDi meri
Thik chhe bajati hai
kuchh hi der mein chiDiya
sham ke dhundalke mein
Dub Dub jati hai
aur ghar ka darwaza
raat khaTkhaTati hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 153)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.