tanhai mera libas hai
rishte mere man kī
utran hai
qurbatoñ kā lams
dā.imī nahīñ
tanhā.ī kā lams
sachchā hai
par man paglā hai
bachche jaise rotā hai
mohabbat pahannā chāhtā hai
dil kī mohabbat
raat ko saḌkoñ pe bikte
ġhubāroñ jaise hotī hai
jis kī gas
aadhī raat ko ghar pahuñchne tak
nikal jaatī hai
jāntī huuñ
par man paglā hai
bachche jaise rotā hai
rishte mere man ki
utran hai
qurbaton ka lams
daimi nahin
tanhai ka lams
sachcha hai
par man pagla hai
bachche jaise rota hai
mohabbat pahanna chahta hai
dil ki mohabbat
raat ko saDkon pe bikte
ghubaron jaise hoti hai
jis ki gas
aadhi raat ko ghar pahunchne tak
nikal jati hai
jaanti hun
par man pagla hai
bachche jaise rota hai
- Book : Man Baani (Pg. 430)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.