tanhai
mujh sā tanhā nahīñ duniyā meñ ḳhudāyā koī
maiñ na apnā huuñ kisī kā bhī na merā koī
kyā milā mujh ko chahal-sāla rifāqat kar ke
ab kisī par na kare aah bharosā koī
tābish-e-hijr ne dil kī ye banā dī sūrat
jaise ho dhuup meñ taptā huā sahrā koī
ātish-e-shauq kī uThī haiñ kuchh aisī lahreñ
jis tarah aag kā bahtā huā dariyā koī
ek vo din thā ki rotoñ ko hañsā detā thā
ab to rotā huuñ jo dekhā koī hañstā koī
maiñ huuñ nairañgī-e-ālam kī mujassam tasvīr
mujh se behtar nahīñ ibrat kā tamāshā koī
maiñ vo qatra huuñ samundar se jo mahrūm rahā
mujh ko kyā mauj meñ aayā kare dariyā koī
be-ruḳhī aah ye kaisī hai ki is aalam meñ
mile lākhoñ na huā ek bhī apnā koī
mujh sa tanha nahin duniya mein KHudaya koi
main na apna hun kisi ka bhi na mera koi
kya mila mujh ko chahal-sala rifaqat kar ke
ab kisi par na kare aah bharosa koi
tabish-e-hijr ne dil ki ye bana di surat
jaise ho dhup mein tapta hua sahra koi
aatish-e-shauq ki uThi hain kuchh aisi lahren
jis tarah aag ka bahta hua dariya koi
ek wo din tha ki roton ko hansa deta tha
ab to rota hun jo dekha koi hansta koi
main hun nairangi-e-alam ki mujassam taswir
mujh se behtar nahin ibrat ka tamasha koi
main wo qatra hun samundar se jo mahrum raha
mujh ko kya mauj mein aaya kare dariya koi
be-ruKHi aah ye kaisi hai ki is aalam mein
mile lakhon na hua ek bhi apna koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.