tanhai
aaj apne kamre meñ
kis qadar akelā huuñ
shaam kā dhuñdhlakā hai
sochtā huuñ gin Dālūñ
dostoñ ke nāḳhun se
kitne zaḳhm khaa.e haiñ
un kī samt se dil par
kitne tiir aa.e haiñ
chauñk chauñk uThtā huuñ
khāñsiyoñ kī aahaT se
kaash kuchh havā chaltī
khiḌkiyoñ ke paT hilte
tak rahā hai ā.īna
shīshiyoñ kī saf chup hai
tū hī bol tanhā.ī
vaqt har taraf chup hai
khiḌkiyoñ kī ā.ankhoñ se
āsmāñ ko taktā huuñ
aaj apne kamre meñ
kis qadar akelā huuñ
ghar ke sāmne ab bhī
ek rāsta hogā
koī aa rahā hogā
koī jā rahā hogā
chheḌtī hī rahtī haiñ
is ḳhayāl-e-qurbat ko
sad-hazār āvāzeñ
aatī haiñ ayādat ko
muñh se ḳhuun aatā hai
kitnī duur manzil hai
diq ki sar-phire nāqid
kaun merā qātil hai
lafzoñ kī dukānoñ par
jazba-e-sadāqat kyā
ḳhūn-e-dil diyā maiñ ne
ḳhūn-e-dil kī qīmat kyā
is pe kuchh buzurgoñ kī
mujrimāna ḳhāmoshī
lā.eq-e-nazāra hai
rif.atoñ kī pastī bhī
rahbaroñ se shikva hai
shauq se ḳhafā hote
haañ magar taġhāful meñ
jur.at-āzmā hote
aaj apne kamre meñ
kis qadar akelā huuñ
sirf dil dhaḌaktā hai
haañ maiñ phir bhī zinda huuñ
kyūñki zindagī merī
ahd kī alāmat hai
inqalāb-e-fardā kī
ik baḌī amānat hai
mere fan kī qindīleñ
haiñ diloñ kī rāhoñ par
bijliyāñ girātī haiñ
yaas kī ghaTāoñ par
hoñToñ par tabassum ke
kuchh diye jalātī haiñ
rañg o nuur o naġhma ke
kuchh payām laatī haiñ
lafzoñ ke kaToroñ meñ
rūh-e-asr bhartī haiñ
aaj ke savāloñ kā
hal talāsh kartī haiñ
jab talak mahaktā hai
gul-kada mire fan kā
ai yaqīn-e-fasl-e-gul
fikr-e-jeb-o-dāman kyā
aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun
sham ka dhundhlaka hai
sochta hun gin Dalun
doston ke naKHun se
kitne zaKHm khae hain
un ki samt se dil par
kitne tir aae hain
chaunk chaunk uThta hun
khansiyon ki aahaT se
kash kuchh hawa chalti
khiDkiyon ke paT hilte
tak raha hai aaina
shishiyon ki saf chup hai
tu hi bol tanhai
waqt har taraf chup hai
khiDkiyon ki aaankhon se
aasman ko takta hun
aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun
ghar ke samne ab bhi
ek rasta hoga
koi aa raha hoga
koi ja raha hoga
chheDti hi rahti hain
is KHayal-e-qurbat ko
sad-hazar aawazen
aati hain ayaadat ko
munh se KHun aata hai
kitni dur manzil hai
diq ki sar-phire naqid
kaun mera qatil hai
lafzon ki dukanon par
jazba-e-sadaqat kya
KHun-e-dil diya main ne
KHun-e-dil ki qimat kya
is pe kuchh buzurgon ki
mujrimana KHamoshi
laeq-e-nazara hai
rifaton ki pasti bhi
rahbaron se shikwa hai
shauq se KHafa hote
han magar taghaful mein
jurat-azma hote
aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun
sirf dil dhaDakta hai
han main phir bhi zinda hun
kyunki zindagi meri
ahd ki alamat hai
inqalab-e-farda ki
ek baDi amanat hai
mere fan ki qindilen
hain dilon ki rahon par
bijliyan giraati hain
yas ki ghaTaon par
honTon par tabassum ke
kuchh diye jalati hain
rang o nur o naghma ke
kuchh payam lati hain
lafzon ke kaToron mein
ruh-e-asr bharti hain
aaj ke sawalon ka
hal talash karti hain
jab talak mahakta hai
gul-kada mere fan ka
ai yaqin-e-fasl-e-gul
fikr-e-jeb-o-daman kya
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 35)
- Author : raahii maasuum razaa
- Publication : saeed publication
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.