tanhai tumhein yaad karti hai
adab se jhuk ke 'aqīdat bharī nigāhoñ se
falak ne tum ko sar-e-shāḳh-sār dekhā hai
mah-e-tamām ne 'aks-e-ruḳh-e-tajallī meñ
qadam qadam pe tumheñ jalva-bār dekhā hai
ḳhud apne saa.e se Dar kar badan churā.e hue
tumheñ sitāroñ ne dīvāna-vār dekhā hai
shafaq ne tum ko akele meñ kasmasā.e hue
hazār baar nahīñ laakh baar dekhā hai
ḳhud apne husn kī tanvīr meñ nahā.e hue
sahar ne tum ko sarāpā bahār dekhā hai
tumheñ chaman meñ Tahalte hue adāoñ se
guloñ ne dekhā hai aur bār-bār dekhā hai
nasīm-e-sub.h kī aThkheliyoñ ne roz-o-shab
sharāratoñ se tumheñ ham-kanār dekhā hai
magar qarīb se us roz tum ko 'bismil' ne
bas ek baar faqat ek baar dekhā hai
samajh lo phir mujhe tum iltifāt ke qābil
banā do merī ḳhushī ko hayāt ke qābil
tumhāre ras bhare hoñToñ kī muskurāhaT ko
shab-e-darāz kī tanhā.ī yaad kartī hai
hayā ke saa.e meñ guftār kī halāvat ko
javāñ umangoñ kī rā'nā.ī yaad kartī hai
nigāh-e-nāz se aa.ī thī jis meñ rangīnī
tumheñ vo anjuman-ārā.ī yaad kartī hai
nazar kī god meñ phir ek baar aa jaao
dil-e-girafta kī añgḌā.ī yaad kartī hai
tumheñ sañvarte hue aa.ine meñ hañste hue
mire ḳhayāl kī gahrā.ī yaad kartī hai
maiñ jāntā huuñ javānī kī laġhzisheñ kyā haiñ
shab-e-visāl kī dilkash guzārisheñ kyā haiñ
adab se jhuk ke 'aqidat bhari nigahon se
falak ne tum ko sar-e-shaKH-sar dekha hai
mah-e-tamam ne 'aks-e-ruKH-e-tajalli mein
qadam qadam pe tumhein jalwa-bar dekha hai
KHud apne sae se Dar kar badan churae hue
tumhein sitaron ne diwana-war dekha hai
shafaq ne tum ko akele mein kasmasae hue
hazar bar nahin lakh bar dekha hai
KHud apne husn ki tanwir mein nahae hue
sahar ne tum ko sarapa bahaar dekha hai
tumhein chaman mein Tahalte hue adaon se
gulon ne dekha hai aur bar-bar dekha hai
nasim-e-subh ki aThkheliyon ne roz-o-shab
shararaton se tumhein ham-kanar dekha hai
magar qarib se us roz tum ko 'bismil' ne
bas ek bar faqat ek bar dekha hai
samajh lo phir mujhe tum iltifat ke qabil
bana do meri KHushi ko hayat ke qabil
tumhaare ras bhare honTon ki muskurahaT ko
shab-e-daraaz ki tanhai yaad karti hai
haya ke sae mein guftar ki halawat ko
jawan umangon ki ra'nai yaad karti hai
nigah-e-naz se aai thi jis mein rangini
tumhein wo anjuman-arai yaad karti hai
nazar ki god mein phir ek bar aa jao
dil-e-girafta ki angDai yaad karti hai
tumhein sanwarte hue aaine mein hanste hue
mere KHayal ki gahrai yaad karti hai
main jaanta hun jawani ki laghzishen kya hain
shab-e-visal ki dilkash guzarishen kya hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.