taqaza
phir raat kī tārīk adā.eñ haiñ musallat
phir sub.h ke hāthoñ se hinā chhūT rahī hai
jo haar tere vāste gūñdhā thā kisī ne
us haar kī ik ek laḌī TuuT rahī hai
jo saaz kabhī vāqif-e-asrār-e-junūñ thā
us saaz kī rag rag se lahū phuuT rahā hai
kyā hosh tujhe sāqī-e-mai-ḳhāna-e-duniyā
vo kaun sā sāġhar hai jo ab TuuT rahā hai
taqdīr ko rote haiñ siyah-baḳht sitāre
āfāq pe zulmāt ne pheñkī haiñ kamandeñ
khultā hī nahīñ ab dar-e-jānāñ ye sunā hai
dīvāne kahāñ jaa.eñ kahāñ raat guzāreñ
ḳhūñrez haqā.eq kī ghanī chhāñv meñ ab tak
doshīza-e-afkār kī zulfeñ haiñ pareshāñ
ab tak haiñ vahī maqtal-o-zanjīr-o-salāsil
ab tak kaf-e-qātil meñ vahī maut ke sāmāñ
ab tak na bujhe dast-e-taġhayyur kī adā se
tasvīr-e-gulistāñ ko jhulaste hue sho.ale
ab tak na haTe apne siyahkār sitam se
tafrīq ke farzand havasnāk luTere
is ālam-e-zulmāt kī pur-haul fazā meñ
ham apnī mohabbat kā lahū bech rahe haiñ
ham jin ko banāte rahe gulshan kā nigahbāñ
ab tak vo rag-e-gul se lahū khīñch rahe haiñ
phir ālam-e-zulmāt meñ rotī hai zuleḳhā
kyā jāniye kis bhes meñ ḳhurshīd-e-sahar hai
phir apne muqaddar pe vahī raat ke pahre
phir jānib-e-maqtal vahī qātil kī nazar hai
phir ham se taqāzā hai tirī shoḳh-nazar kā
tārīkī-e-hālāt kī buniyād hilā deñ
jin se na kabhī sub.h kī kirnoñ kā guzar ho
un tīr-o-tārīk gharoñdoñ ko girā deñ
phir raat ki tarik adaen hain musallat
phir subh ke hathon se hina chhuT rahi hai
jo haar tere waste gundha tha kisi ne
us haar ki ek ek laDi TuT rahi hai
jo saz kabhi waqif-e-asrar-e-junun tha
us saz ki rag rag se lahu phuT raha hai
kya hosh tujhe saqi-e-mai-KHana-e-duniya
wo kaun sa saghar hai jo ab TuT raha hai
taqdir ko rote hain siyah-baKHt sitare
aafaq pe zulmat ne phenki hain kamanden
khulta hi nahin ab dar-e-jaanan ye suna hai
diwane kahan jaen kahan raat guzaren
KHunrez haqaeq ki ghani chhanw mein ab tak
doshiza-e-afkar ki zulfen hain pareshan
ab tak hain wahi maqtal-o-zanjir-o-salasil
ab tak kaf-e-qatil mein wahi maut ke saman
ab tak na bujhe dast-e-taghayyur ki ada se
taswir-e-gulistan ko jhulaste hue shoale
ab tak na haTe apne siyahkar sitam se
tafriq ke farzand hawasnak luTere
is aalam-e-zulmat ki pur-haul faza mein
hum apni mohabbat ka lahu bech rahe hain
hum jin ko banate rahe gulshan ka nigahban
ab tak wo rag-e-gul se lahu khinch rahe hain
phir aalam-e-zulmat mein roti hai zuleKHa
kya jaaniye kis bhes mein KHurshid-e-sahar hai
phir apne muqaddar pe wahi raat ke pahre
phir jaanib-e-maqtal wahi qatil ki nazar hai
phir hum se taqaza hai teri shoKH-nazar ka
tariki-e-haalat ki buniyaad hila den
jin se na kabhi subh ki kirnon ka guzar ho
un tir-o-tarik gharondon ko gira den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.