taqdir
yahāñ har ek kī qismat meñ likkhā hai
musalsal dā.eroñ meñ ghūmte rahnā
safar saare safar yuuñ hī kaTe haiñ
hamārī zindagī bhī ek hī markaz ke chakkar kāTte guzrī
vo markaz
sirf thoḌī sī mohabbat aur izzat
aur ik nān-e-javīñ kī aarzū hai
kabhī jo mil na paa.e ek aise ham-safar kī justujū hai
maiñ barsoñ se kisī āñdhī ke jhakkaḌ kī tarah
is dā.ere ke raqs-e-paiham se
bahut ghabrā ga.ī huuñ
ki maiñ chakrā ga.ī huuñ
magar ye to azal kā silsila hai
yahāñ sab ke liye ik dā.era hai
bashar huuñ yā ki vo sayyārgāñ hoñ
har ik zarre ke andar nāchte nādīda zarre hoñ
kisī ko bhī mafar koī nahīñ hai
yahāñ har ek kī qismat meñ likkhā hai
musalsal dā.eroñ meñ ghūmte rahnā
yahan har ek ki qismat mein likkha hai
musalsal daeron mein ghumte rahna
safar sare safar yun hi kaTe hain
hamari zindagi bhi ek hi markaz ke chakkar kaTte guzri
wo markaz
sirf thoDi si mohabbat aur izzat
aur ek nan-e-jawin ki aarzu hai
kabhi jo mil na pae ek aise ham-safar ki justuju hai
main barson se kisi aandhi ke jhakkaD ki tarah
is daere ke raqs-e-paiham se
bahut ghabra gai hun
ki main chakra gai hun
magar ye to azal ka silsila hai
yahan sab ke liye ek daera hai
bashar hun ya ki wo sayyargan hon
har ek zarre ke andar nachte nadida zarre hon
kisi ko bhi mafar koi nahin hai
yahan har ek ki qismat mein likkha hai
musalsal daeron mein ghumte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.