tarana-e-watan
mulkī haiñ ham vatan hai mulk-e-dakan hamārā
ye hai zamīñ hamārī ye hai vatan hamārā
tabrez ko bhī chhoḌā īrān ko bhī chhoḌā
mulk-e-dakan banā hai ab to vatan hamārā
ham DeḌh sau baras se aakar base haiñ is jā
ye hai zamīñ hamārī charḳh-e-kuhan hamārā
rakhte haiñ jis kī ulfat gaate haiñ jis kā naġhma
āqā-e-banda-parvar shāh-e-dakan hamārā
sun kar 'hayā' kā naġhma mahzūz hoñge sāme.a
detā hai kyā halāvat shīrīñ suḳhan hamārā
mulki hain hum watan hai mulk-e-dakan hamara
ye hai zamin hamari ye hai watan hamara
tabrez ko bhi chhoDa iran ko bhi chhoDa
mulk-e-dakan bana hai ab to watan hamara
hum DeDh sau baras se aakar base hain is ja
ye hai zamin hamari charKH-e-kuhan hamara
rakhte hain jis ki ulfat gate hain jis ka naghma
aaqa-e-banda-parwar shah-e-dakan hamara
sun kar 'haya' ka naghma mahzuz honge samea
deta hai kya halawat shirin suKHan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.