tarana
kar deñge ham is par apnā tan man dhan qurbān
sab se achchhā sab se nyārā pyārā hindostān
hindū hoñ yā muslim hoñ yā sikh hoñ yā īsā.ī
gore hoñ yā kaale haiñ aapas meñ bhaa.ī bhaa.ī
mil-jul kar daanā rahte haiñ laḌte haiñ nādān
sab se achchhā sab se nyārā pyārā hindostān
amrit se bhī baḌh kar hai gañgā jamunā kā paanī
jo bhī is paanī ko pī le bole mīThī baanī
sahrā jañgal parbat jhūmeñ chheḌo aisī taan
sab se achchhā sab se nyārā pyārā hindostān
dil ka.aba hai dil mandir hai phir dil kyuuñ ham toḌeñ
har dil meñ ghar kar jaa.eñ aapas meñ naatā joḌeñ
kahtī hai ye giitā sab se kahtā hai qur.ān
sab se achchhā sab se nyārā pyārā hindostān
āsāmī hoñ bañgālī hoñ yā hoñ rājasthānī
'gāñdhī' 'nehrū' ke vāris haiñ bachche hindostānī
jauhar apne dikhlā.eñge māreñge maidān
sab se achchhā sab se nyārā pyārā hindostān
kar denge hum is par apna tan man dhan qurban
sab se achchha sab se nyara pyara hindostan
hindu hon ya muslim hon ya sikh hon ya isai
gore hon ya kale hain aapas mein bhai bhai
mil-jul kar dana rahte hain laDte hain nadan
sab se achchha sab se nyara pyara hindostan
amrit se bhi baDh kar hai ganga jamuna ka pani
jo bhi is pani ko pi le bole miThi bani
sahra jangal parbat jhumen chheDo aisi tan
sab se achchha sab se nyara pyara hindostan
dil kaba hai dil mandir hai phir dil kyun hum toDen
har dil mein ghar kar jaen aapas mein nata joDen
kahti hai ye gita sab se kahta hai quran
sab se achchha sab se nyara pyara hindostan
aasami hon bangali hon ya hon rajasthani
'gandhi' 'nehru' ke waris hain bachche hindostani
jauhar apne dikhlaenge marenge maidan
sab se achchha sab se nyara pyara hindostan
- Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.