tarbuz
pyāre bachcho maiñ ik phal huuñ būjho merā naam
ḳharbūza tarbūz huuñ maiñ yā nārañgī yā aam
shauq se khā.eñ bachche būḌhe raaja aur avaam
bhārī-bharkam jism hai merā qad jaise fōtbāl
bāhar se maiñ harā harā huuñ aur andar se laal
abbū jab bāzār se aa.eñ saath mujhe bhī laa.eñ
ammī bhaa.ī baajī baby sab mil-jul kar khā.eñ
merā sharbat banā banā kar shauq se sab pī jaa.eñ
garmī ke mausam meñ bachcho miltā huuñ har saal
bāhar se maiñ harā harā huuñ aur andar se laal
barf meñ rakhī ThanDī mīThī phāñkeñ sab ko bhā.eñ
Theloñ galiyoñ bāzāroñ meñ apnā rañg jamā.eñ
bāzāroñ meñ khāne vaale log ḳharīdeñ khā.eñ
sharm jinheñ yuuñ khāte aa.e un kī Tapke raal
bāhar se maiñ harā harā huuñ aur andar se laal
pyare bachcho main ek phal hun bujho mera nam
KHarbuza tarbuz hun main ya narangi ya aam
shauq se khaen bachche buDhe raja aur awam
bhaari-bharkam jism hai mera qad jaise footbaal
bahar se main hara hara hun aur andar se lal
abbu jab bazar se aaen sath mujhe bhi laen
ammi bhai baji baby sab mil-jul kar khaen
mera sharbat bana bana kar shauq se sab pi jaen
garmi ke mausam mein bachcho milta hun har sal
bahar se main hara hara hun aur andar se lal
barf mein rakhi ThanDi miThi phanken sab ko bhaen
Thelon galiyon bazaron mein apna rang jamaen
bazaron mein khane wale log KHariden khaen
sharm jinhen yun khate aae un ki Tapke ral
bahar se main hara hara hun aur andar se lal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.