rasīle jarā.em kī ḳhushbū
mire zehn meñ aa rahī hai
rasīle jarā.em kī ḳhushbū
mujhe hadd-e-idrāk se duur le jā rahī hai
javānī kā ḳhuuñ hai
bahāreñ haiñ mausam zamīñ par!
pasand aaj mujh ko junūñ hai
nigāhoñ meñ hai mere nashshe kī uljhan
ki chhāyā hai tarġhīb kā jaal har ik hasīñ par
rasīle jarā.em kī ḳhushbū mujhe aaj lalchā rahī hai!
qavānīn-e-aḳhlāq ke saare bandhan shikasta nazar aa rahe haiñ
hasīn aur mamnua jhurmuT mire dil ko phuslā rahe haiñ
ye malbūs resham ke aur un kī larzish
ye ġhāza..... ye engine
nisā.ī fusūñ kī har ik mohnī aaj kartī hai sāzish
mire dil ko bahkā rahī hai!
mire zehn meñ aa rahī hai
rasīle jarā.em kī ḳhushbū!
rasile jaraem ki KHushbu
mere zehn mein aa rahi hai
rasile jaraem ki KHushbu
mujhe hadd-e-idrak se dur le ja rahi hai
jawani ka KHun hai
bahaaren hain mausam zamin par!
pasand aaj mujh ko junun hai
nigahon mein hai mere nashshe ki uljhan
ki chhaya hai targhib ka jal har ek hasin par
rasile jaraem ki KHushbu mujhe aaj lalcha rahi hai!
qawanin-e-aKHlaq ke sare bandhan shikasta nazar aa rahe hain
hasin aur mamnua jhurmuT mere dil ko phusla rahe hain
ye malbus resham ke aur un ki larzish
ye ghaza ye engine
nisai fusun ki har ek mohni aaj karti hai sazish
mere dil ko bahka rahi hai!
mere zehn mein aa rahi hai
rasile jaraem ki KHushbu!
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.