musalsal havā ne
sameTe haiñ pattoñ ke bikhre ḳhazāne
safede kī shāḳhoñ se tāroñ kā jhurmuT
mohabbat ke fitne kā jaadū jagāne
chalā aa rahā hai
añdhere meñ raushan
zamistāñ kī rātoñ kā yaḳh-basta joban
bhaḌakne lagā hai sulagtā tasavvur
tamannā kī īzā-parastī kā dāman
baḌhā jā rahā hai
ulajhne se hāsil
huī hai na āsān hogī ye mushkil
balā-ḳhez maujoñ ke raste meñ tanhā
khaḌā hai samundar kā sad-chāk sāhil
koī gā rahā hai
musalsal hawa ne
sameTe hain patton ke bikhre KHazane
safede ki shaKHon se taron ka jhurmuT
mohabbat ke fitne ka jadu jagane
chala aa raha hai
andhere mein raushan
zamistan ki raaton ka yaKH-basta joban
bhaDakne laga hai sulagta tasawwur
tamanna ki iza-parasti ka daman
baDha ja raha hai
ulajhne se hasil
hui hai na aasan hogi ye mushkil
bala-KHez maujon ke raste mein tanha
khaDa hai samundar ka sad-chaak sahil
koi ga raha hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 237)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.