tark-e-mohabbat
husn kī maslahatoñ kā hai taqāzā dil se
ki nikal jaa.e ġham-e-ishq kā saudā dil se
ho magar jis kī rag-o-pai meñ mohabbat saarī
jis ke ehsās pe ho nashsha-e-ulfat taarī
kis tarah dard-e-mohabbat se kinārā kar le
jism aur ruuh kī furqat ko gavārā kar le
aah lekin ye kasauTī hai vafādārī kī
āzmā.ish hai yahī ishq-o-havas-kārī kī
dekh ai dost mire jazba-e-ulfat ko dekh
merī be-laus vafā paak mohabbat ko dekh
tujh se bhī tere liye qat.a nazar kartā huuñ
tark ulfat ko na karnā thā magar kartā huuñ
dīda-e-shauq na hogā tirī jānib nigarāñ
ab na aa.egī laboñ tak mire fariyād-o-fuġhāñ
chashm-e-tar meñ ab na ashkoñ kī namī aa.egī
dil kī betābi-e-vahshat meñ kamī aa.egī
kyā magar ishq kī fitrat bhī badal jā.egī
aah kyā yaad tirī dil se nikal jā.egī
husn ki maslahaton ka hai taqaza dil se
ki nikal jae gham-e-ishq ka sauda dil se
ho magar jis ki rag-o-pai mein mohabbat sari
jis ke ehsas pe ho nashsha-e-ulfat tari
kis tarah dard-e-mohabbat se kinara kar le
jism aur ruh ki furqat ko gawara kar le
aah lekin ye kasauTi hai wafadari ki
aazmaish hai yahi ishq-o-hawas-kari ki
dekh ai dost mere jazba-e-ulfat ko dekh
meri be-laus wafa pak mohabbat ko dekh
tujh se bhi tere liye qata nazar karta hun
tark ulfat ko na karna tha magar karta hun
dida-e-shauq na hoga teri jaanib nigaran
ab na aaegi labon tak mere fariyaad-o-fughan
chashm-e-tar mein ab na ashkon ki nami aaegi
dil ki betabi-e-wahshat mein kami aaegi
kya magar ishq ki fitrat bhi badal jaegi
aah kya yaad teri dil se nikal jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.