tark-e-talluq
pā-ba-gul raat Dhalegī na sahar aa.egī
koī sūraj kisī mashriq se na niklegā kabhī
reza reza hue mahtāb zamāne guzre
bujh ga.e vāda-e-mauhūm ke saare jugnū
ab koī barq hī chamkegī na abr aa.egā
chār-sū ghor añdherā hai ghanā jañgal hai
tū kahāñ jā.egī phunkārte sannāTe meñ
sarhad-e-yād-e-guzishta se pare kuchh bhī nahīñ
dekh isrār na kar maan bhī le lauT bhī jā
maiñ tirī raah kā patthar sahī ye baat to sun
aage khaa.ī hai agar raah kā patthar haT jaa.e
pa-ba-gul raat Dhalegi na sahar aaegi
koi suraj kisi mashriq se na niklega kabhi
reza reza hue mahtab zamane guzre
bujh gae wada-e-mauhum ke sare jugnu
ab koi barq hi chamkegi na abr aaega
chaar-su ghor andhera hai ghana jangal hai
tu kahan jaegi phunkarte sannaTe mein
sarhad-e-yaad-e-guzishta se pare kuchh bhi nahin
dekh israr na kar man bhi le lauT bhi ja
main teri rah ka patthar sahi ye baat to sun
aage khai hai agar rah ka patthar haT jae
- Book : siip (Magzin) (Pg. 158)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.