tark-e-talluq
sochte the ki ho nā-vāqif-e-ādāb-e-vafā
tum meñ to tark-e-ta.alluq kā salīqa bhī nahīñ
dekh ke ham ko
pareshān se ho jaate ho
do qadam baḌhte ho
ghabrā.e se ruk jaate ho
lab pe be-sāḳhta sī baat
Thahar jaatī hai
jaane kyā soch ke māthe pe namī aatī hai
ab kise kahte ho jānāñ
kabhī pūchhā ham ne
ham pe to ḳhair jo guzrī
tumheñ Tokā ham ne
phir ye uljhan ye taraddud ye shikāyat kaisī
ham hue ġhair to
ġhairoñ pe ināyat kaisī
sochte the ki ho na-waqif-e-adab-e-wafa
tum mein to tark-e-talluq ka saliqa bhi nahin
dekh ke hum ko
pareshan se ho jate ho
do qadam baDhte ho
ghabrae se ruk jate ho
lab pe be-saKHta si baat
Thahar jati hai
jaane kya soch ke mathe pe nami aati hai
ab kise kahte ho jaanan
kabhi puchha hum ne
hum pe to KHair jo guzri
tumhein Toka hum ne
phir ye uljhan ye taraddud ye shikayat kaisi
hum hue ghair to
ghairon pe inayat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.