tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo
tark-e-va.ada ki tark-e-ḳhvāb thā vo
kaam sab ho chukā jo karnā thā
bhar chukā jām-e-shart-e-vasl jise
sub.h tak, āñsuoñ se bharnā thā
vo suḳhan us ke mudda.ā meñ nahīñ
mujh ko jis baat se mukarnā thā
koī taqsīm-e-kār-e-mahr-o-nujūm
yā hisāb-e-shab-e-nuzūl koī
dasht-e-lā-hāsilī kī mahdūdāt
shahr-e-maharam kā arz o tuul koī
kuchh nahīñ darmiyāñ jazā na sazā
sañg, dushnām, dāġh, phuul koī
us taraf ab ruḳh-e-ta.alluq hai
jahāñ sūd-o-ziyān-e-zāt nahīñ
Dar nahīñ niiñd TuuT jaane kā
pās-e-va.ada kī ehtiyāt nahīñ
mujh ko jis baat se mukarnā thā
us ke da.ave meñ ab vo baat nahīñ
bhar chukā jām-e-shart-e-vasl jise
sub.h tak, āñsuoñ se bharnā thā
tark-e-va.ada ki tark-e-ḳhvāb thā vo
kaam sab ho chukā jo karnā thā
tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo
kaam sab ho chuka jo karna tha
bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise
subh tak, aansuon se bharna tha
wo suKHan us ke muddaa mein nahin
mujh ko jis baat se mukarna tha
koi taqsim-e-kar-e-mahr-o-nujum
ya hisab-e-shab-e-nuzul koi
dasht-e-la-hasili ki mahdudat
shahr-e-maharam ka arz o tul koi
kuchh nahin darmiyan jaza na saza
sang, dushnam, dagh, phul koi
us taraf ab ruKH-e-talluq hai
jahan sud-o-ziyan-e-zat nahin
Dar nahin nind TuT jaane ka
pas-e-wada ki ehtiyat nahin
mujh ko jis baat se mukarna tha
us ke dawe mein ab wo baat nahin
bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise
subh tak, aansuon se bharna tha
tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo
kaam sab ho chuka jo karna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.