tark-e-wafa ke baad
tumhāre roz-o-shab se ab koī nisbat nahīñ lekin
tumhārā 'aks har lamhe ke ā.īne meñ miltā hai
bichhaḌ kar tum se kitnī shāmeñ hañs hañs kar guzārī haiñ
sajā.e kaise-kaise gesūoñ meñ phuul ashkoñ ke
luTā.ī ābrū-e-sajda kis-kis āstāne par
piye haiñ kis qadar chhalke hue talḳhāb āñkhoñ ke
malā chehre pe din ke kis tarah ġhāza tabassum kā
siye haiñ zaḳhm kis-kis tarh se be-ḳhvāb rātoñ ke
tumhāre roz-o-shab se ab koī nisbat nahīñ lekin
tumhārī shakl kā har ek chehre par huā dhokā
sadā jab bhī sunī koī tumhārā naam yaad aaya
nigāh-e-lutf kī chhāñv ne de dī ho amaañ jaise
kisī ko haal par apne kabhī jab mehrbāñ paayā
tumhārā naam le kar paas aa.e dard ke saa.e
tumhārā ruup pā kar dil ne kis-kis ko na apnāyā
tumhāre roz-o-shab se ab koī nisbat nahīñ lekin
tumhārā 'aks har lamhe ke ā.īne meñ miltā hai
tumhaare roz-o-shab se ab koi nisbat nahin lekin
tumhaara 'aks har lamhe ke aaine mein milta hai
bichhaD kar tum se kitni shamen hans hans kar guzari hain
sajae kaise-kaise gesuon mein phul ashkon ke
luTai aabru-e-sajda kis-kis aastane par
piye hain kis qadar chhalke hue talKHab aankhon ke
mala chehre pe din ke kis tarah ghaza tabassum ka
siye hain zaKHm kis-kis tarh se be-KHwab raaton ke
tumhaare roz-o-shab se ab koi nisbat nahin lekin
tumhaari shakl ka har ek chehre par hua dhoka
sada jab bhi suni koi tumhaara nam yaad aaya
nigah-e-lutf ki chhanw ne de di ho aman jaise
kisi ko haal par apne kabhi jab mehrban paya
tumhaara nam le kar pas aae dard ke sae
tumhaara rup pa kar dil ne kis-kis ko na apnaya
tumhaare roz-o-shab se ab koi nisbat nahin lekin
tumhaara 'aks har lamhe ke aaine mein milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.