tarkib-e-sarfi
nok-e-mīnār pe aTkī huī qumrī se bhalā
kyā pata ḳhaak chalā
''āsmāñ hadd-e-nazar hai ki kamīñ-gāh-e-raqīb?''
meñ batātā huuñ magar apne suḳhan biich meñ hai
āsmāñ ek kabūtar hai ki jis ke ḳhuuñ kī
pyaas meñ saikḌoñ uqaab uḌā karte haiñ
maut badkār sharābī hai paḌosī merā
roz darvāze ke us paar jo gir jaatā hai
zindagī ek chhachhūñdar hai ki jis kī bad-bū
bū-e-yusuf meñ bhī hai girya-e-ya.aqūb meñ bhī
ilm circus ke madārī ke dahan kā sho.ala
zā.iqa muñh kā badalne ko bahut kaafī hai
aur meñ ek hasīñ ḳhvāb ki jis meñ gum hai
ḳhvāb dekhne vaalā vo kamīñ-gah kā raqīb
nok-e-minar pe aTki hui qumri se bhala
kya pata KHak chala
aasman hadd-e-nazar hai ki kamin-gah-e-raqib?
mein batata hun magar apne suKHan bich mein hai
aasman ek kabutar hai ki jis ke KHun ki
pyas mein saikDon uqab uDa karte hain
maut badkar sharabi hai paDosi mera
roz darwaze ke us par jo gir jata hai
zindagi ek chhachhundar hai ki jis ki bad-bu
bu-e-yusuf mein bhi hai girya-e-yaqub mein bhi
ilm circus ke madari ke dahan ka shoala
zaiqa munh ka badalne ko bahut kafi hai
aur mein ek hasin KHwab ki jis mein gum hai
KHwab dekhne wala wo kamin-gah ka raqib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.