tarsil
kuchh log ye kahte haiñ ki achchhā yā burā kuchh bhī nahīñ hai
taqrīb-e-vilādat ho yā hañgām-e-dam-e-marg
ik lamhe ko tasvīr meñ Dhalnā hai vo Dhal jaatā hai āḳhir
vo naġhma ho yā girya yā andāz-e-takallum
sab aks haiñ asrār-e-fusūñ-kār ke shāyad
yaksāñ haiñ mukāfāt kī yūrish meñ sabhī rañg
sargoshiyāñ karte haiñ guzar jaate haiñ āñkhoñ ke jahāñ se
paimāna-e-jāñ se
kyā jhuuT hai kyā sach hai kise kaun batā.e
sab shor-e-salāsil meñ utar aa.e haiñ kuchh soch rahe haiñ
tasvīr ke do ruḳh the kabhī sunte haiñ ab laakh hue haiñ
insān yā haivān yā be-jān koī naam nahīñ hai
ik raqs-e-tamavvuj hai shabīhoñ kā hayyūloñ kā sadāoñ kā farāmosh diloñ kā
is raah se guzre the tumheñ rok liyā apnā samajh kar
bāteñ bhī huiiñ tum ko zarā der ko siine se lagāyā
āñkhoñ meñ dil o jaañ meñ basāyā
jāoge tumheñ jaanā hai ma.alūm thā mujh ko
sach ye hai ki tanvīr-e-mulāqāt se raushan thā ye lamha
sach ye hai ki sar-e-rāh charāġh us ne jalāyā
sach ye hai ki be-sāḳhta jazbāt se raushan thā ye lamha
imroz ye merā thaa, magar merī duā hai
ye lamha ham donoñ ke imkān kā mehvar
kal bhī ye kare donoñ ko ham donoñ ko sarshār munavvar
kuchh log ye kahte hain ki achchha ya bura kuchh bhi nahin hai
taqrib-e-wiladat ho ya hangam-e-dam-e-marg
ek lamhe ko taswir mein Dhalna hai wo Dhal jata hai aaKHir
wo naghma ho ya girya ya andaz-e-takallum
sab aks hain asrar-e-fusun-kar ke shayad
yaksan hain mukafat ki yurish mein sabhi rang
sargoshiyan karte hain guzar jate hain aankhon ke jahan se
paimana-e-jaan se
kya jhuT hai kya sach hai kise kaun batae
sab shor-e-salasil mein utar aae hain kuchh soch rahe hain
taswir ke do ruKH the kabhi sunte hain ab lakh hue hain
insan ya haiwan ya be-jaan koi nam nahin hai
ek raqs-e-tamawwuj hai shabihon ka hayyulon ka sadaon ka faramosh dilon ka
is rah se guzre the tumhein rok liya apna samajh kar
baaten bhi huin tum ko zara der ko sine se lagaya
aankhon mein dil o jaan mein basaya
jaoge tumhein jaana hai malum tha mujh ko
sach ye hai ki tanwir-e-mulaqat se raushan tha ye lamha
sach ye hai ki sar-e-rah charagh us ne jalaya
sach ye hai ki be-saKHta jazbaat se raushan tha ye lamha
imroz ye mera tha, magar meri dua hai
ye lamha hum donon ke imkan ka mehwar
kal bhi ye kare donon ko hum donon ko sarshaar munawwar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.