tarz-e-hayat
terī nazar meñ vus.at-e-kaun-o-makāñ rahe
baalā ta.a.īnāt se terā jahāñ rahe
shabnam sā saaf ho tirī fitrat kā ā.īna
kirnoñ se āftāb kī tū ham-zabāñ rahe
har bol terā naġhma-e-rañgīñ se ho sivā
terī tamām zindagī ik dāstāñ rahe
lahrā rahā hai dil meñ tire chashma-e-hayāt
tujh par hazār haif ki tishna-dahāñ rahe
jab ashk-hā-e-ḳhūñ ko guhar tū banā sake
phir kyoñ tirī nigāh sū-e-asmāñ rahe
fursat tirī aziiz hai manzil kī raah le
kab tak shikāyat-e-sitam-e-āsmāñ rahe
rasm-o-quyūd kā kabhī pāband tū na rah
parvāna kar jo tujh se jahāñ sargirāñ rahe
himmat ye hai ki terī judā kā.enāt ho
kyoñ tujh ko nāzish-e-hasham-e-raftagāñ rahe
ho umr muḳhtasar tirī par sham.a kī tarah
jab tak rahe tū raunaq-e-bazm-e-jahāñ rahe
teri nazar mein wusat-e-kaun-o-makan rahe
baala tainat se tera jahan rahe
shabnam sa saf ho teri fitrat ka aaina
kirnon se aaftab ki tu ham-zaban rahe
har bol tera naghma-e-rangin se ho siwa
teri tamam zindagi ek dastan rahe
lahra raha hai dil mein tere chashma-e-hayat
tujh par hazar haif ki tishna-dahan rahe
jab ashk-ha-e-KHun ko guhar tu bana sake
phir kyon teri nigah su-e-asman rahe
fursat teri aziz hai manzil ki rah le
kab tak shikayat-e-sitam-e-asman rahe
rasm-o-quyud ka kabhi paband tu na rah
parwana kar jo tujh se jahan sargiran rahe
himmat ye hai ki teri juda kaenat ho
kyon tujh ko nazish-e-hasham-e-raftagan rahe
ho umr muKHtasar teri par shama ki tarah
jab tak rahe tu raunaq-e-bazm-e-jahan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.