tarz-e-nau ki shaeri
tausan-e-tab-e-rasā ke paañv meñ kuchh lañg hai
lekin is sūrat meñ chup rahnā bhī vaj.h-e-nañg hai
sher kā sāmān hai kamyāb daur-e-jañg hai
shā.erī bhī farz hai aur qāfiya bhī tañg hai
qāfiye aur vazn kī bandish se ho kar talḳh-kām
ai samand-e-tab.a tujh ko kar rahā huuñ be-lagām
nasr-e-nazm-ālūd hai ye tarz-e-nau kī shā.erī
maash kī khichḌī hai jo puurī tarah pakkī na ho
yā vo haajī hai karachi tak jo jā kar lauT aa.e
ġhāliban aadhā hai tītar aur aadhā hai baTer
kar diyā sayyād ne par qaiñch uḌ saktā nahīñ
maiñ unhī sheroñ se paidā kar rahā huuñ inqalāb
'hāfiz' o 'ḳhayyām' se kah do ki mahshar ho gayā
tundi-e-sahbā se chaknāchūr sāġhar ho gayā
shā.erī kī fikr hai circus kī belī dancer
toḌ kar bandish ko taqrīban barahna ho ga.ī
ḳhirman-e-sher-o-adab par bijliyāñ girne lagīñ
''aag is ghar ko lagī aisī kī jo thā jal gayā''
is ko kahte haiñ ki ye hai blank-verse
''verse'' ho jaatā hai jab bhī zehn ho bilkul blank
tarz-e-nau kī shā.erī bhī sūr-e-isrāfīl hai
shā.erī hābīl hai aur tarz-e-nau qābīl hai
is ke andar zindagī kī qadr karte ho talāsh
aur liye phirtā hai bhaa.ī dūsre bhaa.ī kī laash
tarz-e-nau kī shā.erī ho jaa.e jab behad balīġh
log kahte haiñ ki paidā ho gayā adab-e-latīf
tarz-e-nau kī shā.erī ke dekhiye mauzūa bhī
''hurriyat'' ''nisvāniyat'' ''ehsās'' ''muflis kā shabāb''
''chāñdnī rāteñ'' papīhā, ''tū kahāñ'' ''sarmāya-dār''
''bourgeois qadreñ'' ''mahājan'' ''zindagī ke moḌ par''
''morcha maḳhmal meñ dekhā aadmī bādām meñ''
''TūTī dariyā kī kalā.ī zulf uljhī baam meñ''
tarz-e-nau kī shā.erī meñ madd-o-jazr-e-bahr-e-sher
uff ġhazab
ek misra fīl-e-be-zanjīr kī zinda misāl
dūsrā ushtar kī dum
dariyā meñ sher ḳhaak uḌātā thā naav par
bismil do-zānū baiThā thā pusht-e-bilāv par
nazm lauT aa.ī hai phir apnī purānī bahr meñ
hai ajab tāsīr pinhāñ tarz-e-nau ke sehr meñ
tarz-e-nau kī shā.erī kī koī kal sīdhī nahīñ
shahar bhar meñ uuñT be-chāra abas bad-nām hai
tarz-e-nau kī shā.erī ko uuñT se de kar misāl
chāhtā huuñ uuñT se jā kar muāfī maañg luuñ
haath lekin us kī gardan tak pahuñch sakte nahīñ
garche be-chāra hai lekin hai baḌā gardan-darāz
aah uuñT!
tausan-e-tab-e-rasa ke panw mein kuchh lang hai
lekin is surat mein chup rahna bhi wajh-e-nang hai
sher ka saman hai kamyab daur-e-jang hai
shaeri bhi farz hai aur qafiya bhi tang hai
qafiye aur wazn ki bandish se ho kar talKH-kaam
ai samand-e-taba tujh ko kar raha hun be-lagam
nasr-e-nazm-alud hai ye tarz-e-nau ki shaeri
mash ki khichDi hai jo puri tarah pakki na ho
ya wo haji hai karachi tak jo ja kar lauT aae
ghaaliban aadha hai titar aur aadha hai baTer
kar diya sayyaad ne par qainch uD sakta nahin
main unhi sheron se paida kar raha hun inqalab
'hafiz' o 'KHayyam' se kah do ki mahshar ho gaya
tundi-e-sahba se chaknachur saghar ho gaya
shaeri ki fikr hai circus ki beli dancer
toD kar bandish ko taqriban barahna ho gai
KHirman-e-sher-o-adab par bijliyan girne lagin
aag is ghar ko lagi aisi ki jo tha jal gaya
is ko kahte hain ki ye hai blank-werse
werse ho jata hai jab bhi zehn ho bilkul blank
tarz-e-nau ki shaeri bhi sur-e-israfil hai
shaeri habil hai aur tarz-e-nau qabil hai
is ke andar zindagi ki qadr karte ho talash
aur liye phirta hai bhai dusre bhai ki lash
tarz-e-nau ki shaeri ho jae jab behad baligh
log kahte hain ki paida ho gaya adab-e-latif
tarz-e-nau ki shaeri ke dekhiye mauzua bhi
hurriyat niswaniyat ehsas muflis ka shabab
chandni raaten papiha, tu kahan sarmaya-dar
bourgeois qadren mahajan zindagi ke moD par
morcha maKHmal mein dekha aadmi baadam mein
TuTi dariya ki kalai zulf uljhi baam mein
tarz-e-nau ki shaeri mein madd-o-jazr-e-bahr-e-sher
uff ghazab
ek misra fil-e-be-zanjir ki zinda misal
dusra ushtar ki dum
dariya mein sher KHak uData tha naw par
bismil do-zanu baiTha tha pusht-e-bilaw par
nazm lauT aai hai phir apni purani bahr mein
hai ajab tasir pinhan tarz-e-nau ke sehr mein
tarz-e-nau ki shaeri ki koi kal sidhi nahin
shahar bhar mein unT be-chaara abas bad-nam hai
tarz-e-nau ki shaeri ko unT se de kar misal
chahta hun unT se ja kar muafi mang lun
hath lekin us ki gardan tak pahunch sakte nahin
garche be-chaara hai lekin hai baDa gardan-daraaz
aah unT!
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 80)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.