tasalsul
Thahar jaao inhīñ gaatī huī pur-nūr rāhoñ meñ
aur ik lamhe ko ye socho
hare shītal manohar kitne jañgal aaj vīrāñ hai
vo kaisī lahlahātī khetiyāñ thiiñ ab jo pinhāñ haiñ
vo manzar kitne dilkash the jo ab yād-e-gurezāñ haiñ
bas ik lamhe ko ye socho
na jaane kitnī nāshoñ ko kuchal kar aaj laa.e ho
na.ī tahzīb kī in jannatoñ meñ
jalva-gāhoñ meñ
suno insāñ huuñ
aur roz-e-azal hī se
mirī taḳhlīq aur tāmīr ke jalve farozāñ haiñ
maiñ jab martā huuñ
tab ik zindagī ābād hotī hai
Thahar jao inhin gati hui pur-nur rahon mein
aur ek lamhe ko ye socho
hare shital manohar kitne jangal aaj viran hai
wo kaisi lahlahati khetiyan thin ab jo pinhan hain
wo manzar kitne dilkash the jo ab yaad-e-gurezan hain
bas ek lamhe ko ye socho
na jaane kitni nashon ko kuchal kar aaj lae ho
nai tahzib ki in jannaton mein
jalwa-gahon mein
suno insan hun
aur roz-e-azal hi se
meri taKHliq aur tamir ke jalwe farozan hain
main jab marta hun
tab ek zindagi aabaad hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.