tasbih aur zunnar
zunnār se tasbīh kī phir kaise nibhegī
ye is se pareshān hai vo us se pareshāñ
kuchh abr-e-sitam aisā musallat hai fazā par
insān ko insān samajhtā nahīñ insāñ
masjid se barahman ko hai aabid ko butoñ se
nafrat ke diyoñ se hai har ik ghar meñ charāġhāñ
maġhrib kī siyāsat ne to duniyā hī badal dī
zunnār chamakdār na tasbīh daraḳhshāñ
īmān ke mehvar se 'razī' donoñ judā haiñ
giitā vahāñ baksoñ meñ yahāñ taaq meñ qur.āñ
zunnar se tasbih ki phir kaise nibhegi
ye is se pareshan hai wo us se pareshan
kuchh abr-e-sitam aisa musallat hai faza par
insan ko insan samajhta nahin insan
masjid se barahman ko hai aabid ko buton se
nafrat ke diyon se hai har ek ghar mein charaghan
maghrib ki siyasat ne to duniya hi badal di
zunnar chamakdar na tasbih daraKHshan
iman ke mehwar se 'razi' donon juda hain
gita wahan bakson mein yahan taq mein quran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.