tashbib
tujh ko chāñd nahīñ kah saktā
kyūñki ye chāñd to is dhartī ke chaar taraf nāchā kartā hai
maiñ albatta dīvāna huuñ
tere gird phirā kartā huuñ
jaise zamīñ ke gird ye chāñd aur sūraj ke gird apnī zamīñ nāchā kartī hai
lekin maiñ bhī chāñd nahīñ huuñ
maiñ bādal kā ik TukḌā huuñ
jis ko terī qurbat kī kirnoñ ne uThā kar zulfoñ jaisī narm havā ko sauñp diyā hai
lekin bādal kī qismat kyā
tere firāq kī garmī mujh ko pighlā kar phir aañsū ke ik qatre meñ tabdīl karegī
tujh ko charāġh nahīñ kah saktā
kyūñki charāġh to shām-e-ġharībāñ ke sahrā meñ sub.h-e-vatan kā naqsh-e-qadam hai
mujh meñ itnā nuur kahāñ hai
maiñ to ik daryūza-gar huuñ
sūraj chāñd sitāroñ ke darvāzoñ par dastak detā huuñ
ek kiran do
ek dahaktā añgāroñ do
kabhī kabhī mil jaatā hai
aur kabhī ye daryūza-gar ḳhālī haath chalā aatā hai
maiñ to ek daryūza-gar huuñ
kaliyoñ ke darvāzoñ par dastak detā huuñ
ik chuTkī bhar rañg aur use ḳhushbū de
lafzoñ kā kashkol liye phirtā rahtā huuñ
kabhī kabhī kuchh mil jaatā hai
aur kabhī ye daryūza-gar chāk-garebāñ phūloñ ko ḳhud apne garebāñ kā ik TukḌā de aatā hai!
tujh ko ḳhvāb nahīñ kah saktā
ḳhvāboñ kā kyā
ḳhizāñ-rasīda pattī ke mānind havā kī Thes se bhī TuuTā karte haiñ
lekin maiñ bhī ḳhvāb nahīñ huuñ
ḳhvāb to vo hai jis ko koī dekh rahā ho
maiñ ik diid huuñ
ik giitā huuñ
ik injīl huuñ ik qur.āñ huuñ
rāhguzar par paḌā huā huuñ
suud o ziyāñ kī is duniyā meñ kise bhalā itnī fursat hai
mujhe uThā kar jo ye dekhe
mujh meñ āḳhir kyā likkhā hai
tujh ko raaz nahīñ kah saktā
raaz to akasr khul jaate haiñ
lekin maiñ bhī raaz nahīñ huuñ
maiñ ik ġhamgīñ ā.īna huuñ
merī nazmoñ kā har misra is ā.īne kā jauhar hai
ā.īne meñ jhāñk kar log apne ko dekh rahe haiñ
ā.īne ko kis ne dekhā
tū hī batlā tere liye maiñ lā.ūñ kahāñ se ab tashbīheñ
jis tashbīh ko chhūtā huuñ vo jhijhak ke pīchhe haT jaatī hai
kah uThtī hai
maiñ nāqis huuñ
jān-e-tamannā
terā shā.er tere qasīde kī tashbīb kī vaadī hī meñ āvāra hai
tujh ko chand nahin kah sakta
kyunki ye chand to is dharti ke chaar taraf nacha karta hai
main albatta diwana hun
tere gird phira karta hun
jaise zamin ke gird ye chand aur suraj ke gird apni zamin nacha karti hai
lekin main bhi chand nahin hun
main baadal ka ek TukDa hun
jis ko teri qurbat ki kirnon ne uTha kar zulfon jaisi narm hawa ko saunp diya hai
lekin baadal ki qismat kya
tere firaq ki garmi mujh ko pighla kar phir aansu ke ek qatre mein tabdil karegi
tujh ko charagh nahin kah sakta
kyunki charagh to sham-e-ghariban ke sahra mein subh-e-watan ka naqsh-e-qadam hai
mujh mein itna nur kahan hai
main to ek daryuza-gar hun
suraj chand sitaron ke darwazon par dastak deta hun
ek kiran do
ek dahakta angaron do
kabhi kabhi mil jata hai
aur kabhi ye daryuza-gar KHali hath chala aata hai
main to ek daryuza-gar hun
kaliyon ke darwazon par dastak deta hun
ek chuTki bhar rang aur use KHushbu de
lafzon ka kashkol liye phirta rahta hun
kabhi kabhi kuchh mil jata hai
aur kabhi ye daryuza-gar chaak-gareban phulon ko KHud apne gareban ka ek TukDa de aata hai!
tujh ko KHwab nahin kah sakta
KHwabon ka kya
KHizan-rasida patti ke manind hawa ki Thes se bhi TuTa karte hain
lekin main bhi KHwab nahin hun
KHwab to wo hai jis ko koi dekh raha ho
main ek did hun
ek gita hun
ek injil hun ek quran hun
rahguzar par paDa hua hun
sud o ziyan ki is duniya mein kise bhala itni fursat hai
mujhe uTha kar jo ye dekhe
mujh mein aaKHir kya likkha hai
tujh ko raaz nahin kah sakta
raaz to akasr khul jate hain
lekin main bhi raaz nahin hun
main ek ghamgin aaina hun
meri nazmon ka har misra is aaine ka jauhar hai
aaine mein jhank kar log apne ko dekh rahe hain
aaine ko kis ne dekha
tu hi batla tere liye main laun kahan se ab tashbihen
jis tashbih ko chhuta hun wo jhijhak ke pichhe haT jati hai
kah uThti hai
main naqis hun
jaan-e-tamanna
tera shaer tere qaside ki tashbib ki wadi hi mein aawara hai
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.