tashkil-e-sheristan ke baad
maan lī sarkār ne jab maañg sheristān kī
shā.iroñ ne saañs lī tab jā ke itmīnān kī
purkashish thā is qadar un ke liye taaza vatan
chhoḌ kar ābā.ī ghar jaane lage ahl-e-suḳhan
'amn' 'mullā' 'arsh' 'sāġhar' 'vajd' 'jazbī' aur 'firāq'
apnā apnā qāfila le kar chale bā-tamtarāq
band kar dī 'sāhir'o-'sardār' ne filmī dukāñ
le ke nikle inqilābī shā.iroñ kā kārvāñ
saath 'alvī' ko liye nikle 'ḳhalīl'-o-'shahryār'
aage pīchhe kul jadīdī the qatār-andar-qatār
gungunāte giit gaate 'bekal' utsāhī chale
tanziya ash.ār kahte 'furqat'-o-'vāhī' chale
yūñhī saare mulk se kul shā'irān-e-har-zabāñ
sū-e-manzil chal paḌe le le ke apnī Toliyāñ
sāl-bhar meñ shā.iroñ se mulk ḳhālī ho gayā
inḳhilā un kā mukammal aur misālī ho gayā
aam taḳhmīne ke rū se un kī ta.adād-o-shumār
tūl-o-arz-e-mulk meñ thī do karoḌ iksaTh hazār
naql-e-ābādī ke is tārīḳh-sāz iqdām se
kuchh masā.il hal hue kuchh mas.ale paidā hue
uTh ga.ī jab mulk se ash.ār-sāzoñ kī barāt
kuchh ġhizā.ī mushkiloñ se qaum ne paa.ī najāt
daf.atan be-rozgārī kī vabā bhī kam huī
zor shorish kā ghaTā sarkār mustahkam huī
family mansūba-bandī kī zarūrat ghaT ga.ī
bāp-māñ par thī jo pābandī vo fauran haT ga.ī
man li sarkar ne jab mang sheristan ki
shairon ne sans li tab ja ke itminan ki
purkashish tha is qadar un ke liye taza watan
chhoD kar aabai ghar jaane lage ahl-e-suKHan
'amn' 'mulla' 'arsh' 'saghar' 'wajd' 'jazbi' aur 'firaq'
apna apna qafila le kar chale ba-tamtaraq
band kar di 'sahir'o-'sardar' ne filmi dukan
le ke nikle inqilabi shairon ka karwan
sath 'alwi' ko liye nikle 'KHalil'-o-'shahryar'
aage pichhe kul jadidi the qatar-andar-qatar
gungunate git gate 'bekal' utsahi chale
tanziya ashaar kahte 'furqat'-o-'wahi' chale
yunhi sare mulk se kul sha'iran-e-har-zaban
su-e-manzil chal paDe le le ke apni Toliyan
sal-bhar mein shairon se mulk KHali ho gaya
inKHila un ka mukammal aur misali ho gaya
aam taKHmine ke ru se un ki tadad-o-shumar
tul-o-arz-e-mulk mein thi do karoD iksaTh hazar
naql-e-abaadi ke is tariKH-saz iqdam se
kuchh masail hal hue kuchh masale paida hue
uTh gai jab mulk se ashaar-sazon ki baraat
kuchh ghizai mushkilon se qaum ne pai najat
dafatan be-rozgari ki waba bhi kam hui
zor shorish ka ghaTa sarkar mustahkam hui
family mansuba-bandi ki zarurat ghaT gai
bap-man par thi jo pabandi wo fauran haT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.