tashkil
maiñ ThanDī barf ke zarroñ se
phir se ban rahā huuñ
tumhāre qurb kī hiddat se
paanī ho gayā thā
magar ab phir mirī tashkīl hone jā rahī hai
maiñ phir se ban rahā huuñ
tumhāre pyaar kī hiddat yaqīnan ruuh hai merī
magar ye mere ek ik uzv ko
pighlā ke āb-o-āb kar degī
ye behtar hai ki tum se fāsla ho
na koī rābta ho
ye hiddat phir se merā jism mujh se chhīn legī
mere a.azā ko phir ik shakl milne do
mujhe hiddat se apne lams se
thoḌī duur rahne do
main ThanDi barf ke zarron se
phir se ban raha hun
tumhaare qurb ki hiddat se
pani ho gaya tha
magar ab phir meri tashkil hone ja rahi hai
main phir se ban raha hun
tumhaare pyar ki hiddat yaqinan ruh hai meri
magar ye mere ek ek uzw ko
pighla ke aab-o-ab kar degi
ye behtar hai ki tum se fasla ho
na koi rabta ho
ye hiddat phir se mera jism mujh se chhin legi
mere aaza ko phir ek shakl milne do
mujhe hiddat se apne lams se
thoDi dur rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.