tashwish
zehn-o-dil se yahāñ bāñjh logoñ meñ ab
ahl-e-afkār kā bāñkpan jurm hai
ahl-e-kirdār kā bāñkpan jurm hai
ahl-e-dastār kā bāñkpan jurm hai
fahm-o-idrāk-o-ash'ār kī aaḌ meñ
mausam-e-gul baratnā baḌā jurm hai
dekhnā jānib-e-mai-kada jurm hai
jhiil sī aañkh meñ Dūbnā jurm hai
phuul se jism ko sochnā jurm hai
aur is se bhī aage ḳhudā kī qasam
ahl-e-maz.hab se kuchh pūchhnā jurm hai
pūchhnā rāh-e-haq kā pata jurm hai
kaj-kulāhoñ ko bhī Toknā jurm hai
zahr meñ zindagī DhūñDhnā jurm hai
ḳhud ko suqrāt sā mānñā jurm hai
merā dil merī āñkheñ yā merī zabāñ
lamha lamha aur ik ik ghaḌī ḳhud-baḳhud
apne sach ko bayāñ tum se karte hue
apne baare meñ kuchh bhī chhupāyā nahīñ
jabki sach ye hai mere ta'alluq se tum
zāhirī ham-ḳhayāl aur hamdard ho
varna yuuñ tum ko tashvīsh hotī nahīñ
ḳhud se kyoñ itnā nārāz rahtā huuñ maiñ
zehn-o-dil se yahan banjh logon mein ab
ahl-e-afkar ka bankpan jurm hai
ahl-e-kirdar ka bankpan jurm hai
ahl-e-dastar ka bankpan jurm hai
fahm-o-idrak-o-ash'ar ki aaD mein
mausam-e-gul baratna baDa jurm hai
dekhna jaanib-e-mai-kada jurm hai
jhil si aankh mein Dubna jurm hai
phul se jism ko sochna jurm hai
aur is se bhi aage KHuda ki qasam
ahl-e-mazhab se kuchh puchhna jurm hai
puchhna rah-e-haq ka pata jurm hai
kaj-kulahon ko bhi Tokna jurm hai
zahr mein zindagi DhunDhna jurm hai
KHud ko suqraat sa manna jurm hai
mera dil meri aankhen ya meri zaban
lamha lamha aur ek ek ghaDi KHud-baKHud
apne sach ko bayan tum se karte hue
apne bare mein kuchh bhi chhupaya nahin
jabki sach ye hai mere ta'alluq se tum
zahiri ham-KHayal aur hamdard ho
warna yun tum ko tashwish hoti nahin
KHud se kyon itna naraaz rahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.