tasKHir-e-fitrat ke baad
tasḳhīr-e-fitrat ke ba.ad
havā ai havā
maiñ tirā ek añg ek lahrā thā
sadiyoñ tire saath dasht dāman-e-koh-e-sahrā meñ
āzād-o-sarshār phirtā rahā huuñ
samundar kī chhātī pe sadiyoñ tire saath
be-fikr-o-be-dast chaltā rahā huuñ
anokhī zamīnoñ tilismī jazīroñ ko daryāft kartā rahā huuñ
mujhe tū ne fitrat ke ba.ad
sanam-ḳhāna-e-kā.ināt-e-āzarī ke tilismāt kise aa ke bāhar nikālā
mire ḳhauf se kāñpte dil ko
vahmoñ meñ hue sar ko
sajde se tū ne uThā kar
unheñ āgahī-o-amal kī nayā nuur baḳhshā
mujhe ḳhud se aur ḳhud se bāhar mazāhir se
sadiyoñ ham-āhañg honā sikhāyā
samundar ke dukh ko samajhne kī ḳhātir
ubalte hue garm pur-shor tūfāñ ko naapā hai maiñ ne
bayābāñ kī tanhā.ī ko duur karne kī ḳhātir
maiñ taptī huī ret par sadiyoñ paidal chalā huuñ
badalte hue mausamoñ kā har ik raaz lene ko maiñ ne
bahār-o-ḳhizāñ meñ daraḳhtoñ ke sāyoñ meñ Thahrā to bachchoñ kī sāñseñ ginī haiñ
zamāne kā har sard-o-garm āzmāne ko sadiyoñ hī tak maiñ
pahāḌoñ kī barfīlī choTī se
aur koh-e-ātish-fashāñ ke dahāne se guzar kiyā huuñ
aur us par abhī jab nā-tamāmī kā ehsās Dastā rahā
apnī takmīl karne kī ḳhātir
bulandī kī pur-nūr chaukhaT ko
pastī ke tārīk ġhāroñ ko chūmā hai maiñ ne
ġharaz zindagī ke har ek dard se ḳhud ko añgez kar ke
havā ai havā
maiñ ki tujh se bichhaḌne se pahle
tirī tarah āzād-o-sarshār thā
ab ye kis tarah kī munhamik TūTtī zindagī hai
ki tū shahr shahr aadmī kī tag-o-tāz kī taab laane ke qābil nahīñ
aur maiñ shahr shahr ek patthar sā rastoñ meñ behis paḌā huuñ
tirī sust-paimā.ī aur apnī bechārgī kā gila kar rahā huuñ
tasKHir-e-fitrat ke baad
hawa ai hawa
main tera ek ang ek lahra tha
sadiyon tere sath dasht daman-e-koh-e-sahra mein
aazad-o-sarshaar phirta raha hun
samundar ki chhati pe sadiyon tere sath
be-fikr-o-be-dast chalta raha hun
anokhi zaminon tilismi jaziron ko daryaft karta raha hun
mujhe tu ne fitrat ke baad
sanam-KHana-e-kainat-e-azari ke tilismat kise aa ke bahar nikala
mere KHauf se kanpte dil ko
wahmon mein hue sar ko
sajde se tu ne uTha kar
unhen aagahi-o-amal ki naya nur baKHsha
mujhe KHud se aur KHud se bahar mazahir se
sadiyon ham-ahang hona sikhaya
samundar ke dukh ko samajhne ki KHatir
ubalte hue garm pur-shor tufan ko napa hai main ne
bayaban ki tanhai ko dur karne ki KHatir
main tapti hui ret par sadiyon paidal chala hun
badalte hue mausamon ka har ek raaz lene ko main ne
bahaar-o-KHizan mein daraKHton ke sayon mein Thahra to bachchon ki sansen gini hain
zamane ka har sard-o-garm aazmane ko sadiyon hi tak main
pahaDon ki barfili choTi se
aur koh-e-atish-fashan ke dahane se guzar kiya hun
aur us par abhi jab na-tamami ka ehsas Dasta raha
apni takmil karne ki KHatir
bulandi ki pur-nur chaukhaT ko
pasti ke tarik ghaaron ko chuma hai main ne
gharaz zindagi ke har ek dard se KHud ko angez kar ke
hawa ai hawa
main ki tujh se bichhaDne se pahle
teri tarah aazad-o-sarshaar tha
ab ye kis tarah ki munhamik TuTti zindagi hai
ki tu shahr shahr aadmi ki tag-o-taz ki tab lane ke qabil nahin
aur main shahr shahr ek patthar sa raston mein behis paDa hun
teri sust-paimai aur apni bechaargi ka gila kar raha hun
- Book : Dastavez (Pg. 23)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.