taslis
zamīñ ghūmtī hai
zamīñ ke badan par
fazā kī ridā hai
fazā kī hadoñ se pare
phir ḳhalā hai
fazā aur ḳhalā meñ
ḳhudā hī ḳhudā hai
jo sab jāntā hai
ki us kī hī likkhī huī avvalīñ lauh par
(ādmī ke) gunāhoñ kā qissa likhā hai
usī ke jalā.e hue dozaḳhoñ meñ
bhaḌaktī huī aag kī
tez niilī zabāñ gā rahī hai
usī ke utāre hue sab sahīfoñ kī
har tīsrī satr batlā rahī hai
ki us ko patā hai
gunāhoñ kī lazzat ko vo jāntā hai
ḳhalā se udhar
ghūmtī is zamīñ par
gunāhoñ kī lazzat ko
umm-e-ḳhatūba kī mīThī zabāñ ne chakhā hai
ki jis ke badan meñ
chhupī jannatoñ kī khulī rāhatoñ kā mazā hai
ki jis ke sadā garm bistar kī
har ek silvaT meñ
kitne hī mardoñ kā īmān
ThanDā paḌā hai
zamin ghumti hai
zamin ke badan par
faza ki rida hai
faza ki hadon se pare
phir KHala hai
faza aur KHala mein
KHuda hi KHuda hai
jo sab jaanta hai
ki us ki hi likkhi hui awwalin lauh par
(admi ke) gunahon ka qissa likha hai
usi ke jalae hue dozaKHon mein
bhaDakti hui aag ki
tez nili zaban ga rahi hai
usi ke utare hue sab sahifon ki
har tisri satr batla rahi hai
ki us ko pata hai
gunahon ki lazzat ko wo jaanta hai
KHala se udhar
ghumti is zamin par
gunahon ki lazzat ko
umm-e-KHatuba ki miThi zaban ne chakha hai
ki jis ke badan mein
chhupi jannaton ki khuli rahaton ka maza hai
ki jis ke sada garm bistar ki
har ek silwaT mein
kitne hi mardon ka iman
ThanDa paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.