taswir-e-KHyali
jab añdherā huā har sū huī ḳhilqat ḳhāmosh
jab ta.aqqul se ga.ī chhūT hukūmat kī inaañ
miT chalā thā tire armān kā jab josh-o-ḳharosh
sabr kā yaas ne jab aan ke pakḌā dāmāñ
ġham ke baa.is huā jab misl-e-shab-e-tār dimāġh
dil meñ aur aql meñ barpā huī jang-o-takrār
lahreñ lene lagā jis vaqt tamanna kā charāġh
yaas kā dev jab aa kar huā siine pe savār
jeb-e-hastī ke uḌā chāhte hī the purze
us ghaḌī qalb ke andar huī tū jalva-numā
aisī chamkī tirī tasvīr-e-ḳhyālī jaise
āsmāñ par shab-e-tārīk meñ tanhā taarā
ai munavvar-kun-e-tārīkī-e-chashm-e-āshiq
ai mudāvā-kun-e-ālām-dil-e-hijr-nasīb
ai ba-yak sho.abada zā.il-kun-e-ḳhashm-e-āshiq
ai ba-zāhir tū bahut duur magar dil se qarīb
mehr-o-mah se hai mubārak kahīñ terī tasvīr
chhed saktīñ nahīñ badlī ko shuā.eñ un key
aisī zulmat ko miTā detī hai terī tanvīr
jo miTā.e na miTe raushnī ho koī sī
aa.e tūfān gire barq ki bādal barse
terī ulfat kā shajar Tal nahīñ saktā hai kabhī
zalzala aa.e zamīñ ko ki falak TuuT paḌe
par ye mumkin nahīñ ho terī mohabbat meñ kamī
haañ magar sun le tū ai husn kī mai se sarshār
ḳhār-ḳhār-e-alam-e-hijr se huuñ saḳht hazīñ
yaañ ye sun le mire sarmast-e-adā ḳhush-guftār
ghulte ghulte tire ġham meñ huuñ maiñ ab marg-qarīñ
jab andhera hua har su hui KHilqat KHamosh
jab taqqul se gai chhuT hukumat ki inan
miT chala tha tere arman ka jab josh-o-KHarosh
sabr ka yas ne jab aan ke pakDa daman
gham ke bais hua jab misl-e-shab-e-tar dimagh
dil mein aur aql mein barpa hui jang-o-takrar
lahren lene laga jis waqt tamanna ka charagh
yas ka dew jab aa kar hua sine pe sawar
jeb-e-hasti ke uDa chahte hi the purze
us ghaDi qalb ke andar hui tu jalwa-numa
aisi chamki teri taswir-e-KHyali jaise
aasman par shab-e-tarik mein tanha tara
ai munawwar-kun-e-tariki-e-chashm-e-ashiq
ai mudawa-kun-e-alam-dil-e-hijr-nasib
ai ba-yak shoabada zail-kun-e-KHashm-e-ashiq
ai ba-zahir tu bahut dur magar dil se qarib
mehr-o-mah se hai mubarak kahin teri taswir
chhed saktin nahin badli ko shuaen un key
aisi zulmat ko miTa deti hai teri tanwir
jo miTae na miTe raushni ho koi si
aae tufan gire barq ki baadal barse
teri ulfat ka shajar Tal nahin sakta hai kabhi
zalzala aae zamin ko ki falak TuT paDe
par ye mumkin nahin ho teri mohabbat mein kami
han magar sun le tu ai husn ki mai se sarshaar
KHar-KHar-e-alam-e-hijr se hun saKHt hazin
yan ye sun le mere sarmast-e-ada KHush-guftar
ghulte ghulte tere gham mein hun main ab marg-qarin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.