taswir
maiñ ik tasvīr meñ huuñ
laal
zard
sunahrī
satrañgī
kuchh bādal āsmāñ meñ rakkhe haiñ
kisī ne chūlhe pe señke hoñge shāyad
ret pe kuchh lakīreñ haiñ
aa bhī rahī haiñ
aur jaatī bhī haiñ
Dhak ke rakh diyā hai sūraj
maañ ne os ke bartan meñ
kahā hai
kal sub.h aur milegā
duur se vo bahut baḌā ghar
chhoTā sā lag rahā hai
maiñ sochtā rahā
chhoTī hai jo sāmne paḌī hai
duniyā abhī aur baḌī hai
main ek taswir mein hun
lal
zard
sunahri
satrangi
kuchh baadal aasman mein rakkhe hain
kisi ne chulhe pe senke honge shayad
ret pe kuchh lakiren hain
aa bhi rahi hain
aur jati bhi hain
Dhak ke rakh diya hai suraj
man ne os ke bartan mein
kaha hai
kal subh aur milega
dur se wo bahut baDa ghar
chhoTa sa lag raha hai
main sochta raha
chhoTi hai jo samne paDi hai
duniya abhi aur baDi hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.