taujih
bhalā qat-e-ta.alluq kī koī taujīh kaise ho
ta.alluq TūTne kī nahj par aa kar hamesha TuuT jaatā hai
lab-e-bām-e-tamannā haath aksar chhūT jaatā hai
kabhī kuchh moḌ sīdhe rāstoñ ko moḌ dete haiñ
kabhī lambī masāfat kī thakan shauq-e-safar ko maañd kartī hai
kabhī yaksāniyat kā ḳhauf jazboñ kī lagāmeñ khīñch letā hai
kabhī ik rāh-rau jaldī meñ hotā hai
kabhī ḳhvāhish to hotī hai
magar jazba nahīñ hotā
kabhī jazbāt hote haiñ
magar ḳhvāhish nahīñ hotī
kabhī aisā bhī hotā hai
ta.alluq se ta.affun uThne lagtā hai
kabhī kuchh bhī nahīñ hotā
magar phir bhī ta.alluq TuuT jaatā hai
bhalā qat-e-ta.alluq kī koī taujīh kaise ho
bhala qat-e-talluq ki koi taujih kaise ho
talluq TuTne ki nahj par aa kar hamesha TuT jata hai
lab-e-baam-e-tamanna hath aksar chhuT jata hai
kabhi kuchh moD sidhe raston ko moD dete hain
kabhi lambi masafat ki thakan shauq-e-safar ko mand karti hai
kabhi yaksaniyat ka KHauf jazbon ki lagamen khinch leta hai
kabhi ek rah-rau jaldi mein hota hai
kabhi KHwahish to hoti hai
magar jazba nahin hota
kabhi jazbaat hote hain
magar KHwahish nahin hoti
kabhi aisa bhi hota hai
talluq se taffun uThne lagta hai
kabhi kuchh bhi nahin hota
magar phir bhi talluq TuT jata hai
bhala qat-e-talluq ki koi taujih kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.