taujih
to kyā dekhtā huuñ
fazā nuur hī nuur thī
pahāḌ apne andar se phūTe hue dard
se jal rahā thā
paḌosī samundar sunahrā huā thā
bashārat milī thī
nanoñ, kāhinoñ ke barhana hujūm
dāhne haath meñ apne ġham
aur baa.eñ meñ apne savāl
aur rānoñ meñ ghoḌoñ kī pīTheñ pahan kar
nikal aa.e the
raushnī kī taraf
ḳhāmushī se baḌhe jā rahe the
ḳhunuk aur hairān āñkhoñ se
Takrā ke vāpas palaTtī shuāoñ se
andhī chaTānoñ ke ḳham jal uThe the
to kyā dekhtā huuñ
vo choTī ke paas
pahuñch kar larazne lage the
dhamāka huā thā
ajab ek sayyāl malġhūba
in kī taraf baḌh rahā thā
isī tel meñ bhiig ke
ek zaitūn kā peḌ
mish.al banā jal rahā thā
to kya dekhta hun
faza nur hi nur thi
pahaD apne andar se phuTe hue dard
se jal raha tha
paDosi samundar sunahra hua tha
bashaarat mili thi
nanon, kahinon ke barhana hujum
dahne hath mein apne gham
aur baen mein apne sawal
aur ranon mein ghoDon ki piThen pahan kar
nikal aae the
raushni ki taraf
KHamushi se baDhe ja rahe the
KHunuk aur hairan aankhon se
Takra ke wapas palaTti shuaon se
andhi chaTanon ke KHam jal uThe the
to kya dekhta hun
wo choTi ke pas
pahunch kar larazne lage the
dhamaka hua tha
ajab ek sayyal malghuba
in ki taraf baDh raha tha
isi tel mein bhig ke
ek zaitun ka peD
mishal bana jal raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.