tawaif
āḳhir log tavā.if se itnī nafrat kyoñ karte haiñ
aaj ke daur meñ aksar insāñ
aise kirdār ke hāmil haiñ
jis meñ ek tavā.if pinhāñ hai
farq sirf itnā hai
vo koThe ke uupar hai
ye koThe ke nīche hai
shāyad tumheñ ma.alūm nahīñ
ālīshān mahloñ meñ
bin mausam ke gul khilte haiñ
ghar ke band dar-o-dīvār meñ
ghane sunahre ḳhvāboñ ke
sej yūñhī sajā karte haiñ
ghar daftar bāzār mohalla
kisī na kisī ġharaz kī ḳhātir
ḳhushī ḳhushī yā majbūrī meñ
izzat roz bikā kartī hai
dhande roz huā karte haiñ
aaKHir log tawaif se itni nafrat kyon karte hain
aaj ke daur mein aksar insan
aise kirdar ke hamil hain
jis mein ek tawaif pinhan hai
farq sirf itna hai
wo koThe ke upar hai
ye koThe ke niche hai
shayad tumhein malum nahin
aalishan mahlon mein
bin mausam ke gul khilte hain
ghar ke band dar-o-diwar mein
ghane sunahre KHwabon ke
sej yunhi saja karte hain
ghar daftar bazar mohalla
kisi na kisi gharaz ki KHatir
KHushi KHushi ya majburi mein
izzat roz bika karti hai
dhande roz hua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.