tawaif aur afsar
ik tavā.if ne kahā raat ye ik afsar se
qābil-e-izzat-o-tauqīr huuñ maiñ yā tum ho
maiñ faqat bechtī huuñ apnā badan apnā shabāb
peT kī bhuuk miTāne ke liye baiThī huuñ
vo maiñ har roz nayā hotā hai gāhak merā
ajnabī nām-o-nasab se bhī mire nā-vāqif
ek tum itne harīs apnā bhī saudā kar do
mulk kā saudā kar do
qaum kā saudā kar do
chañd sikkoñ ke evaz bech do nāmūs-e-vatan
sharm karo sharm karo
qābil-e-izzat-o-tauqīr ho tum yā maiñ huuñ
ek tawaif ne kaha raat ye ek afsar se
qabil-e-izzat-o-tauqir hun main ya tum ho
main faqat bechti hun apna badan apna shabab
peT ki bhuk miTane ke liye baiThi hun
wo main har roz naya hota hai gahak mera
ajnabi nam-o-nasab se bhi mere na-waqif
ek tum itne haris apna bhi sauda kar do
mulk ka sauda kar do
qaum ka sauda kar do
chand sikkon ke ewaz bech do namus-e-watan
sharm karo sharm karo
qabil-e-izzat-o-tauqir ho tum ya main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.