tawanai
ġhizā se tavānā.ī tan ko mile
haiñ lambe tavānā.ī ke silsile
tavānā.ī jīvan kī jyotī bhī hai
ye harkī o poshīda hotī bhī hai
tavānā.ī tāqat kā zariya bane
ye har kaam kā ik vasīla bane
mashīnoñ kī bas ahmiyat aaj hai
ki barqī tavānā.ī kā raaj hai
tavānā.ī jis ko kaheñ jauharī
bane is se hathiyār sab itemi
harārat hai sūrat tavānā.ī kī
na ho baat kyūñ-kar ye gahrā.ī kī
hai 'hāfiz' tavānā.ī se zindagī
karo qadr har pal tavānā.ī kī
ghiza se tawanai tan ko mile
hain lambe tawanai ke silsile
tawanai jiwan ki jyoti bhi hai
ye harki o poshida hoti bhi hai
tawanai taqat ka zariya bane
ye har kaam ka ek wasila bane
mashinon ki bas ahmiyat aaj hai
ki barqi tawanai ka raj hai
tawanai jis ko kahen jauhari
bane is se hathiyar sab itemi
hararat hai surat tawanai ki
na ho baat kyun-kar ye gahrai ki
hai 'hafiz' tawanai se zindagi
karo qadr har pal tawanai ki
- Book : Zamzame (Pg. 148)
- Author : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd)
- Publication : Amjad Hussain Hafiz Karnatki (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.