barsoñ baiTh ke socheñ phir bhī
haath ke aage paḌā nivāla
aap halq ke paar na jaa.e
ye adnā nāḳhun tak shāyad baḌhte baḌhte
jaal bichhā.eñ
gyaan nagar behad dilkash hai
lekin us ke raste meñ jo ḳhaar paḌe haiñ
kaun haTā.e
sadiyoñ kī sochoñ kā muraqqa.a
TuuTe hue us but ko dekho
hare-bhare ḳhud-rav sabze ne gher rakhā hai
farq kushāda se chiḌiyoñ kī yād-dahānī
chāh-e-zaqan pe kaa.ī jamī hai
ho saktā hai shāyad us ko gyaan milā ho
ho saktā hai
barson baiTh ke sochen phir bhi
hath ke aage paDa niwala
aap halq ke par na jae
ye adna naKHun tak shayad baDhte baDhte
jal bichhaen
gyan nagar behad dilkash hai
lekin us ke raste mein jo KHar paDe hain
kaun haTae
sadiyon ki sochon ka muraqqa
TuTe hue us but ko dekho
hare-bhare KHud-raw sabze ne gher rakha hai
farq kushada se chiDiyon ki yaad-dahani
chah-e-zaqan pe kai jami hai
ho sakta hai shayad us ko gyan mila ho
ho sakta hai
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 36)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.