tawahhum
un ke lahje meñ vo kuchh loch vo jhankār vo ras
ek be-qasd tarannum ke sivā kuchh bhī na thā
kāñpte hoñToñ meñ uljhe hue mub.ham fiqre
vo bhī andāz-e-takallum ke sivā kuchh bhī na thā
saikḌoñ Tīseñ nazar aatī thiiñ jis meñ mujh ko
vo bhī ik saada tabassum ke sivā kuchh bhī na thā
sard o tābinda sī peshānī vo machle hue ashk
din meñ nūr-e-mah-o-anjum ke sivā kuchh bhī na thā
tund aahoñ ke dabāne meñ vo siine kā ubhār
ek yūñhī se talātum ke sivā kuchh bhī na thā
maiñ ne jo dekhā thaa, jo sochā thaa, jo samjhā thā
haa.e 'jazbī' vo tavahhum ke sivā kuchh bhī na thā
un ke lahje mein wo kuchh loch wo jhankar wo ras
ek be-qasd tarannum ke siwa kuchh bhi na tha
kanpte honTon mein uljhe hue mubham fiqre
wo bhi andaz-e-takallum ke siwa kuchh bhi na tha
saikDon Tisen nazar aati thin jis mein mujh ko
wo bhi ek sada tabassum ke siwa kuchh bhi na tha
sard o tabinda si peshani wo machle hue ashk
din mein nur-e-mah-o-anjum ke siwa kuchh bhi na tha
tund aahon ke dabane mein wo sine ka ubhaar
ek yunhi se talatum ke siwa kuchh bhi na tha
main ne jo dekha tha, jo socha tha, jo samjha tha
hae 'jazbi' wo tawahhum ke siwa kuchh bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.