tawil KHamushi
bātoñ kā martabān achānak chhūT gayā hai hāthoñ se
bātoñ ke nāzuk jism ab lafzoñ kī kirchoñ se
zaḳhmī hai aur lahūluhān be-bas se haiñ
ḳhayāl aur ma.anī bhī uchhal kar duur paḌe haiñ kone meñ
rote se bilakhte se
saare ehsās paḌe hai farsh pe mar kar
bhaar poñchh kar sameT luuñ phir bhī chakhte to na miTeñge
baaton ka martaban achanak chhuT gaya hai hathon se
baaton ke nazuk jism ab lafzon ki kirchon se
zaKHmi hai aur lahuluhan be-bas se hain
KHayal aur mani bhi uchhal kar dur paDe hain kone mein
rote se bilakhte se
sare ehsas paDe hai farsh pe mar kar
bhaar ponchh kar sameT lun phir bhi chakhte to na miTenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.