tazad-e-sham
mujhe shaam se pahle
office ke buldog ko
fileñ sauñpnī thiiñ
mire sāthiyoñ ne
jo ḳhāke rache the
apāhij kī sūrat
mire sāmne the
mirī afsarī
mere cabin meñ
bhūke babar-sher sī ho rahī thī
mire mātahat apne chehre banā.e hue
be-zabāñ ho rahe the
apne tasavvur kī durgat pe sar pīTtā thā
achānak vo laḌkī
jo pichhle mahīne nikālī ga.ī thī
havā par thiraktī huī
phone par gungunā.ī
mirī afsarī kā babar-sher
yak-laḳht paanī huā
darinde se insāñ kā saanī huā
vo be-kār laḌkī
udāsī meñ Duubī huī chāñdnī meñ
bahalne kī ḳhātir
mohabbat bhare chand pal chāhtī thī
usī shaam mujh se
tarannum meñ gūñdhī huī
ik ġhazal chāhtī thī
mujhe sham se pahle
office ke buldog ko
filen saunpni thin
mere sathiyon ne
jo KHake rache the
apahij ki surat
mere samne the
meri afsari
mere cabin mein
bhuke babar-sher si ho rahi thi
mere matahat apne chehre banae hue
be-zaban ho rahe the
apne tasawwur ki durgat pe sar piTta tha
achanak wo laDki
jo pichhle mahine nikali gai thi
hawa par thirakti hui
phone par gungunai
meri afsari ka babar-sher
yak-laKHt pani hua
darinde se insan ka sani hua
wo be-kar laDki
udasi mein Dubi hui chandni mein
bahalne ki KHatir
mohabbat bhare chand pal chahti thi
usi sham mujh se
tarannum mein gundhi hui
ek ghazal chahti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.