tazad
maiñ sochtā huuñ
maiñ ek insān huuñ ek musht-e-ġhubār huuñ maiñ
abhī maiñ ye soch hī rahā thā
ki ek āvāz sarsarā.ī fazā kī ḳhāmosh vus.atoñ meñ
palaT ke dekhā
koī havā.ī jahāz parvāz kar rahā thā
jo lamha lamha bulandiyoñ kī taraf ravāñ thā
maiñ us ko taktā rahā musalsal
na jaane kab tak
na jaane is lamha-e-gurezāñ ke tañg dāman meñ kitnī sadiyāñ simaT ga.ī thiiñ
na jaane merī nazar meñ kitne na.e ufuq jagmagā.e
kitne hī chāñd sūraj ubhar ke Duube
na jaane vo kaun sā jahāñ thā
zamīñ ki paañv tale koī farsh-e-zar ho jaise
falak ki sar par ridā-e-āb-e-guhar ho jaise
fazā munavvar
havā mo.attar
nafas nafas meñ basī huī nik.hat-e-gul-e-tar
ḳhalāoñ meñ mushtarī o zohra kā raqs jaarī
tamām aalam pe halkā halkā surūr taarī
na jaane maiñ kis ḳhayāl meñ gum
kis abr-pāre pe uḌ rahā thā
ġhurūr se sar buland kar ke har ik sitāre ko dekhtā thā
ki ek dil-doz chīḳh gūñjī fazā kī ḳhāmosh vus.atoñ meñ
maiñ chauñk uTThā
palaT ke dekhā
galī se ik haDDiyoñ kā Dhāñcha guzar rahā thā
jo chīḳh kar ek ik se kahtā thā ''ek roTī
ḳhudā tumhārā bhalā karegā''
main sochta hun
main ek insan hun ek musht-e-ghubar hun main
abhi main ye soch hi raha tha
ki ek aawaz sarsarai faza ki KHamosh wusaton mein
palaT ke dekha
koi hawai jahaz parwaz kar raha tha
jo lamha lamha bulandiyon ki taraf rawan tha
main us ko takta raha musalsal
na jaane kab tak
na jaane is lamha-e-gurezan ke tang daman mein kitni sadiyan simaT gai thin
na jaane meri nazar mein kitne nae ufuq jagmagae
kitne hi chand suraj ubhar ke Dube
na jaane wo kaun sa jahan tha
zamin ki panw tale koi farsh-e-zar ho jaise
falak ki sar par rida-e-ab-e-guhar ho jaise
faza munawwar
hawa moattar
nafas nafas mein basi hui nikhat-e-gul-e-tar
KHalaon mein mushtari o zohra ka raqs jari
tamam aalam pe halka halka surur tari
na jaane main kis KHayal mein gum
kis abr-pare pe uD raha tha
ghurur se sar buland kar ke har ek sitare ko dekhta tha
ki ek dil-doz chiKH gunji faza ki KHamosh wusaton mein
main chaunk uTTha
palaT ke dekha
gali se ek haDDiyon ka Dhancha guzar raha tha
jo chiKH kar ek ek se kahta tha ek roTi
KHuda tumhaara bhala karega
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 168)
- Author : NCPUL, New Delhi
- Publication : Khalilur Rahman Azmi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.