tazad
dīvār pe reñgtā huā kiiḌā
nazar se ojhal ho jaatā hai
vo dīvār ke āḳhirī sire tak pahuñch sakā
yā biich meñ hī gir gayā
dīvār hī to us ke vajūd kā sahārā hai
vo bas reñgne kī āzādī chāhtā hai
agar vo dīvār ke āḳhirī sire tak pahuñch gayā
to use zinda rahne kā sukh milegā
magar us kā zinda rahnā ḳhatra hai
ki us reñgte hue kiiḌe ke murda vajūd pe
baḌe baḌe aivān khaḌe haiñ
jis meñ basne vāloñ ne
kiiḌe ko dīvār se girāyā
aur ab vo is ke sog meñ
sadā-e-ehtijāj buland kareñge
diwar pe rengta hua kiDa
nazar se ojhal ho jata hai
wo diwar ke aaKHiri sire tak pahunch saka
ya bich mein hi gir gaya
diwar hi to us ke wajud ka sahaara hai
wo bas rengne ki aazadi chahta hai
agar wo diwar ke aaKHiri sire tak pahunch gaya
to use zinda rahne ka sukh milega
magar us ka zinda rahna KHatra hai
ki us rengte hue kiDe ke murda wajud pe
baDe baDe aiwan khaDe hain
jis mein basne walon ne
kiDe ko diwar se giraya
aur ab wo is ke sog mein
sada-e-ehtijaj buland karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.