tazadon se ibarat
dukhoñ ke ḳheme meñ baiTh kar
nā-rasā ḳhushī kī ḳhushī meñ hañsnā
tavīl o anjān hijr kī ḳhār-zār pagDanDiyoñ pe chalte
visāl lamhoñ kī ḳhushbuoñ meñ rachī
koī nazm kah ke ronā
havās kī dastaras meñ honā
kabhī na honā
inhīñ tazādoñ se zaat ke haath kī lakīroñ meñ ramz-e-ma.ānī
inhī pe qaa.em mire tafakkur ke silsile sab
kalām o husn-e-kalām ke Dhab
dukhon ke KHeme mein baiTh kar
na-rasa KHushi ki KHushi mein hansna
tawil o anjaan hijr ki KHar-zar pagDanDiyon pe chalte
visal lamhon ki KHushbuon mein rachi
koi nazm kah ke rona
hawas ki dastaras mein hona
kabhi na hona
inhin tazadon se zat ke hath ki lakiron mein ramz-e-maani
inhi pe qaem mere tafakkur ke silsile sab
kalam o husn-e-kalam ke Dhab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.