tazabzub
ho to saktā hai kisī dev ke jaise maiñ bhī
le uḌuuñ tujh ko kahīñ duur kī duniyāoñ meñ
dil kī dīvāroñ meñ lau terī muqayyad kar ke
tishna āshāoñ ke qile ko munavvar kar luuñ
ḳhvāb-e-derīna kī ta.abīr banā kar tujh ko
apnī āñkhoñ ke kivāḌoñ meñ muqaffal kar luuñ
saarī duniyā kī nigāhoñ se chhupā kar tujh ko
le uḌuuñ reñgte bal khāte hue rastoñ par
jo pahāḌoñ ke badan kaaT ke uupar kī taraf
sabz kaa.ī se aTe mahloñ pe jā rukte haiñ
ḳhud-ġharaz ho ke tujhe qaid meñ rakkhūñ aise
zī-nafas koī na ho chār-chfere tere
apnī tanhā.ī kī vahshat ko miTāne ke liye
DhūñD paa.e na kisī ko tū sivā.e mere
sirf ik maiñ huuñ aur ik tū ho rifāqat ke liye
mā-sivā mere na ho koī mohabbat ke liye
lekin ai phūl-sifat dekh ke sūrat terī
sochtā huuñ ki agar bāġh-e-jahāñ se tujh ko
toḌ bhī lūñgā to tū kaise jiyegī āḳhir
rañg-hā-rañg mahakte hue phūloñ se pare
duur uftāda pur-asrār ḳharābe meñ qayām
dard ke phailte saa.e meñ kahāñ mumkin hai
tujh tar-o-tāza kā ḳhush rahnā chaTaknā khilnā
merī vīrān-sarā.e meñ kahāñ mumkin hai
ho to sakta hai kisi dew ke jaise main bhi
le uDun tujh ko kahin dur ki duniyaon mein
dil ki diwaron mein lau teri muqayyad kar ke
tishna aashaon ke qile ko munawwar kar lun
KHwab-e-derina ki tabir bana kar tujh ko
apni aankhon ke kiwaDon mein muqaffal kar lun
sari duniya ki nigahon se chhupa kar tujh ko
le uDun rengte bal khate hue raston par
jo pahaDon ke badan kaT ke upar ki taraf
sabz kai se aTe mahlon pe ja rukte hain
KHud-gharaz ho ke tujhe qaid mein rakkhun aise
zi-nafas koi na ho chaar-chfere tere
apni tanhai ki wahshat ko miTane ke liye
DhunD pae na kisi ko tu siwae mere
sirf ek main hun aur ek tu ho rifaqat ke liye
ma-siwa mere na ho koi mohabbat ke liye
lekin ai phul-sifat dekh ke surat teri
sochta hun ki agar bagh-e-jahan se tujh ko
toD bhi lunga to tu kaise jiyegi aaKHir
rang-ha-rang mahakte hue phulon se pare
dur uftada pur-asrar KHarabe mein qayam
dard ke phailte sae mein kahan mumkin hai
tujh tar-o-taza ka KHush rahna chaTakna khilna
meri viran-sarae mein kahan mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.