tazabzub
mufāhamat kī hadoñ se aage
muhīb añdheroñ ke qāfile haiñ
tavīl vahshat ke silsile haiñ
jo ma.arka dil ne sar kyā gar
to tīrgī dā.imī muqaddar
ḳhirad ne jiitā to qatra qatra
ye zahar ḳhud meñ utārnā hai
ki tīsrī koī rah nahīñ hai
so muntazir huuñ ki aage qismat meñ kyā likhā hai
muhīb añdhere
ki zahar-ḳhvānī
mufahamat ki hadon se aage
muhib andheron ke qafile hain
tawil wahshat ke silsile hain
jo marka dil ne sar kya gar
to tirgi daimi muqaddar
KHirad ne jita to qatra qatra
ye zahar KHud mein utarna hai
ki tisri koi rah nahin hai
so muntazir hun ki aage qismat mein kya likha hai
muhib andhere
ki zahar-KHwani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.