TeDha aangan
husn kā da.avā aur ye bachpan
naach na jaane TeḌhā āñgan
ye jo guloñ ke chaak haiñ dāman
ḳhāroñ se kuchh ho ga.ī an-ban
tirchhī nazreñ tīkhī chitvan
daur-e-javānī ḳhaas hai season
us kī taraf bhī merī taraf bhī
dil bhī niklā thālī kā baiñgan
ishq ne vo pur-kaif banāyā
maiñ huuñ munora vo haiñ clifton
ulfat kī yuuñ rail chalegī
husn ke Dabbe ishq kā engine
maiñ bhī faujī vo bhī faujī
maiñ bhī attention vo bhī attention
nāseh mujh ko samjhātā hai
daanā ho kar aql kā dushman
zulf meñ dil ko phāñs rahī thī
ḳhud hī ulajh kar rah ga.ī zulfan
apne dil kā haal ajab hai
jab se kī hai un kī Tuition
donoñ ḳhushī se phuul rahe haiñ
vo haiñ Dunlop maiñ huuñ michlon
garmī meñ is shaan se aa.e
haath meñ pankhā dosh pe achkan
mujh ko hai dhaḌkā to yahī hai
aap na sun leñ dil kī dhaḌkan
jab se pākistān vo aa.e
haT ga.ī un ke dar se chilman
husn meñ vo mash.hūr haiñ aise
qavvāloñ meñ jaise kallan
allāh allāh ishq ke tevar
aahā aahā husn kī chitvan
dil par shab-ḳhūñ mārne vaale
armānoñ kī dekh le palTan
husn ka dawa aur ye bachpan
nach na jaane TeDha aangan
ye jo gulon ke chaak hain daman
KHaron se kuchh ho gai an-ban
tirchhi nazren tikhi chitwan
daur-e-jawani KHas hai season
us ki taraf bhi meri taraf bhi
dil bhi nikla thaali ka baingan
ishq ne wo pur-kaif banaya
main hun munora wo hain clifton
ulfat ki yun rail chalegi
husn ke Dabbe ishq ka engine
main bhi fauji wo bhi fauji
main bhi attention wo bhi attention
naseh mujh ko samjhata hai
dana ho kar aql ka dushman
zulf mein dil ko phans rahi thi
KHud hi ulajh kar rah gai zulfan
apne dil ka haal ajab hai
jab se ki hai un ki Tuition
donon KHushi se phul rahe hain
wo hain Dunlop main hun michlon
garmi mein is shan se aae
hath mein pankha dosh pe achkan
mujh ko hai dhaDka to yahi hai
aap na sun len dil ki dhaDkan
jab se pakistan wo aae
haT gai un ke dar se chilman
husn mein wo mashhur hain aise
qawwalon mein jaise kallan
allah allah ishq ke tewar
aaha aaha husn ki chitwan
dil par shab-KHun marne wale
armanon ki dekh le palTan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.