tere baad
koī muḳhlis mujhe tujh sā na milā tere baad
yaad aatī hai bahut terī vafā tere baad
ham haiñ jiine se ajal ham se ḳhafā tere baad
ham se dil dil se hai ārām judā tere baad
koī jāma.a na rahā muntashir aate haiñ nazar
ilm-o-fan dānish-o-dīñ sidq-o-safā tere baad
daulat-e-faqr amīroñ meñ nahīñ miltī ab
phirte haiñ jhāñkte dar-dar fuqarā tere baad
be-sabab tujh se vafādār ne muñh moḌ liyā
muñh dikhāte nahīñ ab ahl-e-vafā tere baad
bahs rahtī thī ki hai kaun vafā kā pāband
haif ye uqda-e-sar-basta khulā tere baad
had ko pahuñchī thī mohabbat mirī tere aage
ho ga.ī had se ye kam-baḳht sivā tere ba.ad
ganj-e-ummīd-o-tarab chhīn ke rū-posh huī
sāmne aa.ī na phir mere qazā tere baad
dil ko bad-zan na kar ai hādim-e-lazzāt ke said
jān-e-shīrīñ kā nahīñ kuchh bhī mazā tere baad
ye ayaañ hai ki uThā dahr se tū par ye batā
ho gayā baiThe biThā.e mujhe kyā tere baad
mahsharistāñ tapish-e-shauq se thā jo siina
maqbara hasrat-o-armāñ kā banā tere baad
shauq thā hañsne hañsāne kā tire aage mujhe
bhā ga.ī rone rulāne kī adā tere baad
thā tirī zaat pe mauqūf mirā nāz-o-ġhurūr
ḳhāksāroñ meñ shumār ab hai mirā tere baad
merā har fe.al tire fe.al kā ā.īna banā
bhā gayā mujh ko har ik shaġhl terā tere baad
baḌh ga.ī yā to tirī raa.e kī mauzūniyyat
nuur yā merī basārat kā baḌhā tere baad
pahle marġhūb the dānish-var-o-chālāk as.hāb
bhole-bhāloñ pe lagī hone fidā tere baad
na rahā ġhalba-e-saudā-e-bayān-e-ġhālib
'dāġh' ne paa.ī dil-e-tafta meñ jā tere baad
dost rakhtī thī hamesha tire har dost ko maiñ
ho ga.e apne ahibbā se sivā tere baad
be-hayā.ī hai agar 'zāhidā' le sher kā naam
aah ai qadr-shanās-e-sho.arā tere ba.ad
koi muKHlis mujhe tujh sa na mila tere baad
yaad aati hai bahut teri wafa tere baad
hum hain jine se ajal hum se KHafa tere baad
hum se dil dil se hai aaram juda tere baad
koi jama na raha muntashir aate hain nazar
ilm-o-fan danish-o-din sidq-o-safa tere baad
daulat-e-faqr amiron mein nahin milti ab
phirte hain jhankte dar-dar fuqara tere baad
be-sabab tujh se wafadar ne munh moD liya
munh dikhate nahin ab ahl-e-wafa tere baad
bahs rahti thi ki hai kaun wafa ka paband
haif ye uqda-e-sar-basta khula tere baad
had ko pahunchi thi mohabbat meri tere aage
ho gai had se ye kam-baKHt siwa tere baad
ganj-e-ummid-o-tarab chhin ke ru-posh hui
samne aai na phir mere qaza tere baad
dil ko bad-zan na kar ai hadim-e-lazzat ke said
jaan-e-shirin ka nahin kuchh bhi maza tere baad
ye ayan hai ki uTha dahr se tu par ye bata
ho gaya baiThe biThae mujhe kya tere baad
mahsharistan tapish-e-shauq se tha jo sina
maqbara hasrat-o-arman ka bana tere baad
shauq tha hansne hansane ka tere aage mujhe
bha gai rone rulane ki ada tere baad
tha teri zat pe mauquf mera naz-o-ghurur
KHaksaron mein shumar ab hai mera tere baad
mera har feal tere feal ka aaina bana
bha gaya mujh ko har ek shaghl tera tere baad
baDh gai ya to teri rae ki mauzuniyyat
nur ya meri basarat ka baDha tere baad
pahle marghub the danish-war-o-chaalak ashab
bhole-bhaalon pe lagi hone fida tere baad
na raha ghalba-e-sauda-e-bayan-e-ghaalib
'dagh' ne pai dil-e-tafta mein ja tere baad
dost rakhti thi hamesha tere har dost ko main
ho gae apne ahibba se siwa tere baad
be-hayai hai agar 'zahida' le sher ka nam
aah ai qadr-shanas-e-shoara tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.