tere jamāl kī doshīzgī kī qaus-e-quzah
nigāh mahbat-e-idrāk meñ na kyuuñ rakh luuñ
zamāna-sāz huuñ maiñ aa.ina sifat huuñ maiñ
hai vaqt pīchhe mire maiñ jahāñ jidhar niklūñ
bhañvar bhañvar mujhe detā hai vus.at-e-afkār
hisār-e-shor-o-talātum meñ kab talak maiñ rahūñ
kashākash-e-ġham-e-hastī mujhe ijāzat de
kuñvāre-pan kī hathelī pe terā naam likhūñ
vo ek naam falak-āshnā hayāt-āgīñ
maiñ apnī sāñsoñ meñ paiham ravāñ-davāñ dekhūñ
tere jamal ki doshizgi ki qaus-e-quzah
nigah mahbat-e-idrak mein na kyun rakh lun
zamana-saz hun main aaina sifat hun main
hai waqt pichhe mere main jahan jidhar niklun
bhanwar bhanwar mujhe deta hai wusat-e-afkar
hisar-e-shor-o-talatum mein kab talak main rahun
kashakash-e-gham-e-hasti mujhe ijazat de
kunware-pan ki hatheli pe tera nam likhun
wo ek nam falak-ashna hayat-agin
main apni sanson mein paiham rawan-dawan dekhun
Source :
- Book : Aiwan (Pg. 83)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
-
Publication : Nirali Duniya
(1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.