tere KHaton ki KHushbu
tere ḳhatoñ kī ḳhushbū
hāthoñ meñ bas ga.ī hai sāñsoñ meñ rach rahī hai
ḳhvāboñ kī vus.atoñ meñ ik dhuum mach rahī hai
jazbāt ke gulistāñ mahkā rahī hai har sū
tere ḳhatoñ kī ḳhushbū
tere ḳhatoñ kī mujh par kyā kyā ināyateñ haiñ
be-mudda.ā karam hai bejā shikāyateñ haiñ
apne hī qahqahoñ par barsā rahī hai aañsū
tere ḳhatoñ kī ḳhushbū
terī zabān ban kar aksar mujhe sunā.e
bāteñ banī banā.ī jumle raTe-raTā.e
mujh par bhī kar chukī hai apnī vafā kā jaadū
tere ḳhatoñ kī ḳhushbū
samjhe haiñ kuchh usī ne ādāb chāhatoñ ke
sab ke liye vahī haiñ alqāb chāhatoñ ke
sab ke liye barābar phailā rahī hai baazū
tere ḳhatoñ kī ḳhushbū
apne sivā kisī ko maiñ jāntā nahīñ thā
suntā thā laakh bāteñ aur māntā nahīñ thā
ab ḳhud nikāl laa.ī begānagī ke pahlū
tere ḳhatoñ kī ḳhushbū
kyā jaane kis taraf ko chupke se muḌ chukī hai
gulshan ke par lagā kar sahrā ko uḌ chalī hai
rokā hazār maiñ ne aa.ī magar na qaabū
tere ḳhatoñ kī ḳhushbū
tere KHaton ki KHushbu
hathon mein bas gai hai sanson mein rach rahi hai
KHwabon ki wusaton mein ek dhum mach rahi hai
jazbaat ke gulistan mahka rahi hai har su
tere KHaton ki KHushbu
tere KHaton ki mujh par kya kya inayaten hain
be-muddaa karam hai beja shikayaten hain
apne hi qahqahon par barsa rahi hai aansu
tere KHaton ki KHushbu
teri zaban ban kar aksar mujhe sunae
baaten bani banai jumle raTe-raTae
mujh par bhi kar chuki hai apni wafa ka jadu
tere KHaton ki KHushbu
samjhe hain kuchh usi ne aadab chahaton ke
sab ke liye wahi hain alqab chahaton ke
sab ke liye barabar phaila rahi hai bazu
tere KHaton ki KHushbu
apne siwa kisi ko main jaanta nahin tha
sunta tha lakh baaten aur manta nahin tha
ab KHud nikal lai beganagi ke pahlu
tere KHaton ki KHushbu
kya jaane kis taraf ko chupke se muD chuki hai
gulshan ke par laga kar sahra ko uD chali hai
roka hazar main ne aai magar na qabu
tere KHaton ki KHushbu
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 269)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.