tere naqsh-e-qadam
haar kī jiit kī riit hai zindagī
zindagī madd-o-jazr-e-hikāyāt hai
gaah koī zarar gaah koī ziyāñ
gaah bohtān hai gaah sauġhāt hai
zindagī madd-o-jazr-e-hikāyāt hai
zindagī tujh se maiñ pyaar kartā rahā
ek mahbūba-e-do-jahāñ kī tarah
mah-ruḳhāñ kī tarah
jān-e-jāñ kī tarah
dekh ai zindagī
yaañ bahut ham-nazar yaañ bahut ham-safar
tere maddāh haiñ
chāhe dār-o-rasan ho ki dil-dāriyāñ
tere naqsh-e-qadam miT na paa.eñ kabhī
haar ki jit ki rit hai zindagi
zindagi madd-o-jazr-e-hikayat hai
gah koi zarar gah koi ziyan
gah bohtan hai gah saughat hai
zindagi madd-o-jazr-e-hikayat hai
zindagi tujh se main pyar karta raha
ek mahbuba-e-do-jahan ki tarah
mah-ruKHan ki tarah
jaan-e-jaan ki tarah
dekh ai zindagi
yan bahut ham-nazar yan bahut ham-safar
tere maddah hain
chahe dar-o-rasan ho ki dil-dariyan
tere naqsh-e-qadam miT na paen kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.